لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhaiyya Ali akbar

Nadeem Sarwar2014
ShiaNohaLyrics
Bhaiyya aliakbar, bhaiyya aliakbar..(4) Bhaiyya aliakbar, bhaiyya aliakbar Sughra ne ye khat akbar ko likha, Kese ho mere pyaare bhaiyya Bichde hue arsa beet gaya, kab tak ye bahen dekhe rasta Jab ghar ko parinde jaate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai..(2) Lo qaside sughra ghar se chala, likha hai batao ae bhaiyya Ab tak na khayaal aaya mera, kya aisi hui hai mujhse khata Kya aise rooth ke jaate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Sab chod gaye hum ko tanha, kis haal me hu kya tumko pata Beemar ko de ab kaun dawa, ajao jo tum mai pau shifa Jab chain se sab sojate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Jab ba li sakina aur asghar, milte hai gale tumse haskar Aur saath me ho maa aur padar, bus itna bata bhaiyya akbar Sab ghar me haste hasate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Jab jab bhi musalle par bhaiyya, karte ho namaze fajr ada Beemar ke haq me behre shifa, karte hai dua mere baba Sab apne haath uthate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Qasim jo sakina ko bhaiyya, deta hai  koi laakar tohfa Dono se gale milkar baba, dete hai dua lekar bosa Aur pyaar se sar sehlate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Jab ghar me khushi ka ho saama, sab ek jagah ho peero jawa Khush dekhke sab ko ho amma, aajae koi ghar me mehma Jab dastarkhan bichate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Hasrat hai tera sehra dekhu, majae tera matha chumu Bate to bohot hai kya likhu, nadir hu bhaiyya kya bheju Ehbaab jo tohfe laate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Jab zikr kabhi hota hoga, majae tumhare shadi ka Khush hongi sakina aur kubra, bandhega aliakbar sehra Khushiyo ke phool khilate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Kya aur likhu kya batlau, dil cheer ke kaise dikhlau Khud aau ke tumko bulwau, bhaiyya mai tujhe kese pau Bus tanha ashk bahate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai Qasid jo khate sughra laya, ek baap kamar thame tha khada Bhai ke labo par tha sughra, roro ke shanawar aur raza Khat sughra ka dohrate hai.. Bhaiyya ali akbar, bhaiyya ali akbar..(2)