لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye musafir

Nadeem Sarwar2016
ShiaNohaLyrics
Alwida, alwida, alwida..(4) Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida Alwida, alwida, alwida..(2) Ae musafir.. 1. Boli zainab, ae mere maa jaye ye kya haal hai kaise pehchanu tera laasha bohot pamaal hai aah re anta akhi kya, hai tu hi bhaiyya mera mai musafir shaam ki hu,..... 2. Kya tumhi ho ibne zehra, kya tumhi ibne ali kya tumhi bhai hasan ke, aur jaane zainabi ae gule baagh e mohammad, haal ye kya hogaya mai musafir shaam ki hu,..... 3. Na rahi nalayn, na malboos, na dastaaar hai ae ghareeb e fatima, tu khuld ka sardaar hai ae tane uryaa'n tera to, aaj sab kuch lut gaya mai musafir shaam ki hu,..... 4. Mai rasan basta chali, waada nibhane ke liye ghar me qatil ke teri, masnad bichane ke liye kal yahi masnad banadungi, teri farshe azaa mai musafir shaam ki hu,..... 5. Bhai, amma, aur nana ka, padar ka waasta baat kar mujh se baradar, kholde aankhein zara dekh to chehra behan ka, kis qadar murjha gaya mai musafir shaam ki hu,..... 6. Laasha e besar tadapkar ye sada dene laga ae behan waada nibhake, mai to maqtal se chala thi sadaa rehan o sarwar, haaye khwahar alwida Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida Alwida, alwida, alwida..(4)