لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baadshah Hussain

Nadeem Sarwar2016
ShiaNohaLyrics
hussain x2 badshaah hussain, hussain badshaah hussain yeh deen panaahi ka sharaf kisko mila hai, yeh kiska laqab hai jo sare arsh likha hai badshaah hussain, hussain badshaah hussain Ajmer ke khwaaja ne yeh sach khoob kaha hai, laarayb k shabbir hi kalme ki baqa hai badshaah hussain, hussain badshaah hussain shah ast hussain, badshah ast hussain dee'n aat hussain, dee'n panah ast hussain sardaad na daad dast dar dast e yazeed haqqa k bina laa ilaah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain 1. Maula bada kaam kiya, deen e khuda aam kiya, kar naa saka koi kabhi, tune wahi kaam kiya, waada wafa karke raha, sar na jhuka haq pe jiya, sabse bada mera khuda karta rha ailaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain 2. Ishq tera, ishqe khuda noke sina tak jo gaya ishq mei jo tune diya koi bhi woh de na saka noor e khuda dast e khuda tere siwa kaun hua kehna pada likhna pada hai yeh tera ehsaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain 3. Sarwar e zeeshan hussain azmat e insaan hussain bolta qur'an hussain main tere qurbaan hussain meer e haram rab ki kasam tera yeh gham hoga na kam farsh e aza haq ki sada hai yeh tera faizaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain 4. Azme jawaa'n tashnalaba bewatana bekafana tere liye hai yeh fugha arsh o zameen nauhakuna dard e dilaa'n tashnadahaan khush zabaa'n noke sina tan se juda sar tha magar padhta raha qur'an hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain 5. haaan... har jaaa'n hai huqumat teri har dil mei basa hai har dil mei azakhaana tera aaj saja hai quraan e masaaeb mei tera naam likha hai matam ki sada hai ki yeh tu bol rha hai ishq e khuda teri adaa naam tera zinda raha karbobala di hai sada tu hai bada insaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain 6. haaan... thi zinda azadaari teri zinda rahegi woh qaum jo bedaar hai gham tera karegi awaaze azaan jo tere rauze se uthegi wallah khudaayi teri aawaaz sunegi shaahe zaman, hadi e mann naaze chaman, sheeri sukhan shaan e Nabi, shaan e Ali yaani meri jaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain 7. Jannat e mann karbobala rahat e mann karbobala sarwar o rehan e aza daulat e mann karbobala hum hai safeeran e aza shah e huda tumpe sada jaan karein tumpe fida hai yeh mera armaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain