لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Labbaik

Nadeem Sarwar2016
ShiaNohaLyrics
Hussain Hussain Hussain Ye farshe aza sab ke liye hai zahra ki dua sab ke liye hai..(2) Ye farshe aza Ye farshe buqa Ye farshe aza farshe buqa karbobala hai Ye khaq e najaf khak e haram khaak e shifa hai Ye noor e khuda qibla numa arshe khuda hai Jalne na do nafrat ke diye pyari hawao Hai ek khuda ek nabi sab ko batao Aur kaho Aur kaho Aur kaho Labbaik hussain labbaik Ye farshe aza sabke liye hai..... Duniya me saf e matam e shabbir bichao..(2) Khwahish hai ye zahra ki ise bhul na jao Paigham e hussain ibne ali sabko sunao Insan shanasi hai aza khano me aao Ye amn ka paigham hai dunaya ko sunao Shabbir ne sikhlayi hai insaan shanasi Insa ki hidayat ke liye jaan luta di Hai majlis e shabbir isi nukhte ki aadi Allah ki dharti pe na tum khoon bahao Chahat ke shajar phool muhabbat ke khilao Haan... Insa ki nigheban azadari e shabbir Momin ka hai imaan azadari e shabbir Rishto ki hai pehchan azadari e shabbir Is dar se muhabbat ko suno aur sunao Abbas e alamdar ke parcham ko uthao Ye karbobala kya hai ye maqtal nahi maqtab Is maqtab e aali ki mudarris hui zainab Jis bibi ne mazbut kiya aur bhi mazhab Is bibi ke khutbo ko nisabo me padhao In phulon ko guldan e aqeedat me sajao Haan... Gar shauk e ziarat hai azakhane me aao Gar amn ki chahat hai azakhane me aao Dehshat se jo nafrat hai azakhane me aao Jannat ki zururat hai to is gham ko manao Duniya se sitamgaro ke fitne ko mitao Ye aun o mohammad ali Akbar ka hai matam Abbas sakina ali asghar ka hai matam Ye zainab o kulsum ka haider ka hai matam Wo dekho safiraan e aza aate hai aao Aye sarwar o rehan chalo nauha sunao