لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Zahra Ali

Nadeem Sarwar2016
ShiaNohaLyrics
Momino qissa e sadaat suno thaam kar dil ye meri baat suno khoon se likhe huwe halaat suno ya zahra, ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2) ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra Momino qissa e sadaat suno thaam kar dil ye meri baat suno noor e kaunain madina hai jaha'n ek mahella bani hashim hai waha'n ek mahelle ke ek ghar ka bayaa'n jisse behtar nahi duniya mein makaa'n deen o eemaan ke kirdaar ka ghar panjetan paak ke anwaar ka ghar dukhtar e Ahmed e mukhtar ka ghar fatima haider e qarrar ka ghar laadle..(3), inke hasan aur hussain aur do betiya'n thi noor e ayn ek kulsoom thi, ek baap ka zayn aur abbas dilo jaan ka chayn ghar ye tha bayt e khuda jisme qur'aa utra aur kis tarha luta inka rutba na zamana samjha ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra Kaisi mazloom magar thi zahra baap ke ghum me bhi rone na diya haq se mehroom kiya wa abata aaj bhi jiski lahad be saaya jispe jalta huwa darwaza gira hogayi pehlu shakista zahra qatl mohsin bhi hua wawaila baad e zehra wo ali ka girya masjide..(3), kufa me phir shor utha haaye haider pe chali teghe jafa thi sada fusto be rabbil kaaba ghar mein zehra ke qayamat thi bapa sar se saaya jo utha ghar ye veeran huwa thi yateemo ki buka haaye baba, haaye baba baba ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2) Baad e haider ye sitam aur huwa khoo'n mein shabbar ka janaza dooba aur phir deen jo mushkil mein ghira tab hussain ibn e ali ghar se chala karbala jaise hi pohcha kunba phir to kya zulm na sayyed pe huwa milke laakho'n ne unhe gher liya teen din pehle to paani na diya aur phir..(3) maqtale sadaat sajaa bhanje, bete, bhatija na raha na wo lashkar na alamadaar bacha asr se pehle wo halmin ki sadaa chal gayi teghe jafa khoon bekas ka baha sar suwe naiza gaya tan ko aghosh me zehra ne liya ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2) Aa gayi shaam e ghareeba'n haye haye aur phir aag lagi khaime jale ghash se jab aabid e beemar uthe qaidi kunbe ke wo salaar bane haaye sajjad ne kya kya dekha sar khule shaam me kunba dekha jashn darbaar mein hota dekha choti hamsheer ka laasha dekha qaid se..(3), chutke chale karbobala sab ka chehlum kiya matam bhi kiya qafila jab ye madine pohcha ab baya'n sarwar o rehan ho kya haye matam tha bapa jab ye zainab ne kaha na rahi meri rida amma mai aagayi bhai na raha ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)