لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye alamdar e man

Nadeem Sarwar2017
ShiaNohaLyrics
ya Abbas a.s (10) Aey Alamdar e man Aey Sipah dar e man(2) Aey wafadar e man Aa Main hogaya tanha Ya Abbas a.s(3) 1. Waqt e madad hai ba wafaa darya pe ab sota hai kya Halmin ki deta hu sada sun aey Sakina a.s ke chacha aey mere bawafaa aey mere dilruba aey mere mehlaqaan Aa Main Hogya Tanha Ya Abbas a.s (3) 2.  Aa dekh meri zindagi Dard o alam main ghir gayi zakhmi huwa rah war bhi barhne lagi hai tishnagi Tunay rakha bharam Har ghadi har qadam Phir uthalay Alam Aa main hogaya tanha ya Abbas a.s (3) 3. Laashain utha kar thak gaya Pucho na kese ghar gaya Abbas phir main gir gaya Samjhi Behn main mar gaya haye kiya reh gaya hogayi inteha jaane Mushkil Kasha Aa main hogaya tanha Ya Abbas a.s (3) 4. Bhaya mujhay yeh hai khabar Be dast tu hai khaak par Phir bhi magar koshish to kar Aja tarayi chod kar Tere baazoo qalam khoon main dooba Alam Hai Sakina a.s ko gham Aa mai hogya tanha Ya Abbas (3) 5. Khanjar talay hai sar mera zaalim hai seenay par charha thi Sarwar o Rehan yeh Mola e be Qas a.s ki sada Aa mere bhai Aa Kat raha hai gala Aakhri hai sada Aa main hogaya tanha ya Abbas a.s (3) Aey Alamdar e man Aey Sipah dar e man Aey wafadar e man Aa Main hogaya tanha Ya Abbas a.s(10)