لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye kufiyo

Nadeem Sarwar2017
ShiaNohaLyrics
Ghul machate be adab wo kufiyaane bad zabaan..(2) wahshato'n ke dayere mein thi ali ki betiya'n zalimo ke saamne, qatilo'n ke darmiyaa'n choti dukhtare ali ki aa rahi thi ye sadaa hussainnn... nauha ye tha kulsoom ka, aye kufiyane bewafa..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) 1. Us hussain ko qatl kar diya jiske paas hai marziye khuda deen jiske ghar surkhroo hua jis hussain ka, nana mustafa(s.a.w.w)..(2) jis hussain ka, baba murtaza(a.s.) jis hussain ki, maa hai sayyeda(s.a.) ru baru agar hoga saamna kaise jaoge peshe kibriya(s.w.t)..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) 2. Zulm kaunsa humpe na hua phir bhi hum rahe raazi ba raza bhai ko mere dhoka dediya saath na diya, akela kar diya..(2) pehle khat likhe aur bula liya phir ghareeb ka khoo'n baha diya mat zameen par tum bano khuda waqt hai qareeb hoga faisla..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) 3. Aye kufiyo, zulm hogaya aale mustafa se muqabela itrate nabi hum hai ba khuda zere aasma'n sar khula hua..(2) baandh kar hame qaid kar liya aur phir hame baaghi keh diya jis ke nana se deene haq mila us nawase ko ye sila mila aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) 4. Wa museebata, wa museebata wa museebata, yu chaman luta gher kar hame, laaye karbala band hum pe phir paani kar diya qatl kar diya ghar ka ghar mera sayyedo ke sar kar diye juda zulm ki hui hampe inteha tum pe waay ho haay kya kiya ajr e mustafa yu adaa kiya..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)