لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mashallah karbala

Nadeem Sarwar2018
ShiaNohaLyrics
Labbaik ya hussain.. Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain..(2) zinda jaha'n mein taaba qayamat hai karbala sadaat e karbala ki amanat hai karbala duniya ke har ghareeb ki izzat hai karbala Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain..(2) Jannat e maa karbala, rooh e azaa karbala..(2) noor e khuda karbala, baab e dua karbala..(2) khaak e shifa karbala, ghum ki dawa karbala, jannat e maa karbala..(2) jannat e maa karbala..(6) Karbobala khoon e Mohammad se saji hai Karbobala ishq e hussain ibn e ali hai teri zamee'n mo'alla..(4) Karbala karbala masha'allah..(4) tu rahegi sadaa insha'allah..(3) Mashallah mashallah karbala..(4) 1. Aao chale karbala..(2) banke safeer e azaa..(2) sarpe ho parcham khula..(2) ishq e azaa saath rahe ashko ki barsaat rahe haatho mein bus haath rahe teri zamee'n mo'alla..(4) nainawa nainawa mashallah..(2) tu rahegi sadaa insha'allah..(3) Mashallah mashallah karbala..(4) Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain..(2) Jiye shaah, jiye shaah..(2) 2. Karbobala khaak thi..(2) khaak ko izzat mili..(2) khaak e shifa bangayi..(2) aaye hussain ibn e ali surat e gulzar saji ghazi ki jageer bani teri zamee'n mo'alla..(4) marhaba marhaba mashallah..(2) tu rahegi sadaa insha'allah..(3) Mashallah mashallah karbala..(4) Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain..(2) Jiye shaah, jiye shaah..(2) 3. Hum tere zawwar hai..(2) tere azadaar hai..(2) khadim e darbaar hai..(2) nara e labbaik mera matam e shahe shohada lo mai chala karbobala teri zamee'n mo'alla..(4) shukriya shukriya mashallah..(2) tu rahegi sadaa insha'allah..(3) Mashallah mashallah karbala..(4) Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain..(2) Jiye shaah, jiye shaah..(2) 4. Meri dawa karbala..(2) meri shifa karbala..(2) meri baqa karbala..(2) daulat e maa karbobala quwwat e maa karbobala izzat e maa karbobala teri zamee'n mo'alla..(4) rehnuma rehnuma mashallah..(2) tu rahegi sadaa insha'allah..(3) Mashallah mashallah karbala..(4) Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain..(2) Jiye shaah, jiye shaah..(2) 5. Aye shahe karbobala..(2) koi nahi aap sa..(2) ek hai bus karbala..(2) sarwar o rehan chalo leke ye armaan chalo nazr kare jaan chalo teri zamee'n mo'alla..(4) jaane maa jaane maa mashallah..(2) tu rahegi sadaa insha'allah..(3) Mashallah mashallah karbala..(4) Zindabad karbala, zindabad ya hussain..(2) Jiye shaah, jiye shaah..(2) Beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala Zehra ke khandaan ki daulat hai karbala jo bhi yaha'n hussain ka zawwar ban gaya hurr bangaya koi, koi mukhtaar ban gaya Karbobala sayebaa', karbobala paasbaa'n, karbobala noor e jaa'n saari zameeno ki maa ishq o mohabbat ka nisha'n farsh pe hai arsh jahaa'n jannat e arzi ka samaa dee'n panaah, sajda gaah, madresa, darsgaah, hal yazah, hal ataah tu hai dayaar e hussain mashallah mashallah tu dil e zahra ka chayn mashallah mashallah rooh e dil e mashraqain mashallah mashallah tere liye har dua inshallah inshallah tere liye har sadaa mashallah mashallah jaari rahegi sadaa mashallah mashallah Karbala karabala..(2) Hai hamari darsgaah Karbala karabala haq ka seedha raasta Karbala karabala Ibadato ka raabta Karbala karabala har ek hurr ki rahnuma Karbala karabala hussainiyat ka madrassa Karbala karabala Baqa e harf e laa ilaah Karbala karabala Hussain jiska baadshah Karbala karabala Hussain jiska baadshah Karbala karabala Hussain jiska baadshah Karbala karabala Labbaik ya hussain.....