لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khuda khair kare

Nadeem Sarwar2020
ShiaNohaLyrics
Khair kare, khuda khair kare..(2) Us taraf zulm pe aamadah zamane wale..(2) Is taraf saare Mohammad ke gharane wale Kaun kiska hai tarafdaar.. Khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare Karbala hogayi tayyar, khuda khair kare Ye qayamat ke hai aasaar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 1. Roze ashoor hawaao'n se barasta hai lahu..(2) lut gayi kiski ye sarkaar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 2. Ye to mumkin hi nahi hai ke jhuka dein sar ko..(2) kya kare sahib e kirdaar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 3. Bhai jaate hai khuda hafiz o nasir kehkar..(2) behne kehti hai ye har baar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 4. Wo jo ghode se gira saath gire mashk o alam na alam hai na alamdaar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 5. Kitne sadme hai jo sajjad ko sehne hai abhi..(2) bediya'n hoti hai tayyar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 6. Aaj bhi seeno mein zinda hai hussain ibn e ali..(2) saara aalam hai azadaar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 7. Aane wale yuhi aate rahe rozo'n pe sadaa..(2) kam na ho aapke zawwar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare 8. Sheh ke matam mein hilaal aisi fiza gunj uthi..(2) hue larza dar o deewar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare Ye qayamat ke hai aasaar, khuda khair kare Karbala hogayi tayyar Khuda khair kare Khair kare, khuda khair kare..(2)