لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Murshid Ghazi

Nadeem Sarwar2020
ShiaNohaLyrics
Maula ghazi, maula ghazi..(8) Ya Ghazi, Ya Ghazi.. Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) Zainab ki paak dua bankar..(3) ab ghar ghar par lehrata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka.. 1. Tera maula ghazi kya kehna tere darr ki naukri kya kehna teri karam nawazi kya kehna tere naam ki haziri kya kehna jaha'n dastarkhwan ye sajta hai..(2) us ghar ki shaan badhata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) 2. Mai ghum se jab ghabrata hu to paas alam ke jaata hu ro ro ke maula ghazi ko mai dil ka haal sunata hu mere sar par saaya karta hai..(2) meri himmat aur badhata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) Ya Ghazi, Ya Ghazi.. Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi 3. Abbas karam farmao na..(2) kabhi mojiza ye dikhlao na mere ghar bhi saja hai tera alam kabhi mere ghar bhi aao na sarkaar mere ghar aaenge..(2) mere dil ki aas bandhata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) 4. Ye parcham aman ka naara hai ye parcham paak sahara hai tu pyaar kare to tera hai mai pyaar karu to mera hai jo iske deep jalata hai..(2) ye uske bhaag jagata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) 5. Zawwar jo ghar se chalta hai ye uspar saaya karta hai ghar se ghar tak pohchane ki abbas zamanat deta hai laakho zawwar jo chalte hai..(2) unhe karbobala pohchata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) Ya Ghazi, Ya Ghazi.. Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi 6. Ha mashk o alam se yaad aayi pyaas asghar aur sakina ki mazloom hussain ki tanhayi zainab bazaar mein kyu aayi jab paak alam ye uth-ta hai..(2) har manzar yaad dilata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) 7. Jab aath moharram aati hai ghazi ki yaad dilati hai jawwad o sarwar ye duniya abbas ka sog manati hai us waqt juloos e matam mein..(2) har matamdaar uthata hai alam mere murshid ghazi ka..(2) Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka alam mere murshid ghazi ka..(2) Ya Ghazi, Ya Ghazi.. Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi