لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ka nara

Nadeem Sarwar2021
ShiaNohaLyrics
Ek shor hai.. Abbas hai abbas..(2) Ek shor hai Abbas hai abbas..(2) Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara Abbas hai abbas..(2) Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara Lalkar ke phir fauj ko ghazi ye pukara tum sab yehi kehte the ke dariya hai humara ab dekho ke dariya hai humara ke tumhara lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(4) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(2) Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3) 1. Mai haider e qarrar ke saaye me pala hu mai fatima zahra ki duao ka sila hu abbas mera naam alamdar e wafa hu ye naam o nasab hai meri qismat ka sitara dariya hai humara..(2) lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) 2. Aaqa ki duao ka karam saath hai mere dekho bani hashim ka hasham saath hai mere rutba hai alamdar alam saath hai mere lehrake farera bhi ye karta hai ishara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3) 3. Sahil pe jo ye fauj ke daste hai tumhare ek aan mein paywand e zamee'n ho abhi saare dariya ulat aaye abhi qadmo'n me humare ek hashr bapa kardu mai kardu jo ishara dariya hai humara..(2) lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) 4. Khat bhej ke tumne jinhe yasrab se bulaya mehman the lekin unhe dariya se hataya pyaase hi rahe wo unhe paani na pilaya Allah ne jinke liye kausar ko utara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3) 5. Ye hukm hai aaka ka na talwar uthana warna meri zarbo se larazta ye zamana ye fauj e jafakaar ye zalim ka thikana ek naize se naqsha hi badal jayega saara dariya hai humara..(2) lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) 6. Kya fauj ki tadaad batate ho hume tum hum dekhe ke kis tarha hatate ho hume tum kis hakim o jabir se darate ho hume tum ab naam na lena kisi hakim ka dobara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3) 7.Pyaasa hu magar sunle sabhi dushman e jaani paani mujhe peena nahi lejana hai paani haye mere masoomo ki wo tishna dahani hai mashk e sakina unhi pyaaso ka sahara dariya hai humara..(2) lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) 8. Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(2) Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar Ab bhi hai tarayi ki zamee'n par wo dilafgar wo dekh zara roza e abbas e alamdar ek zinda gawahi hai ye marqad ka nazara dariya hai humara..(2) abbas ka nara hai alamdar ka nara dariya hai humara..(2) lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara dariya hai humara..(2) Ek shor hai.. dariya hai humara..(2) Ek shor hai.. dariya hai humara..(2)