لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mazar e Fatima

Nadeem Sarwar2021
ShiaNohaLyrics
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) Haye, Dekho mazar e fatima kitna udaas hai Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 1. Dekho mazar e fatima kitna udaas hai Bus ek nishan e sang hi turbat ke paas hai mehroom choomne se bhi har haq shanaas hai bol aye zamane dega bhala kya jawaab tu mehshar mein Mustafa ke jab aayega ru baru Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 2. Allah re ye Fatima Zahra ki bekasi ek shamma bhi jalane ko aata nahi koi tanha hai ek goshe mein beti rasool ki charo taraf madine mein phaili hai roshni toote hue mazaar se lipti hai bekasi Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 3. Bol aye zamane kya tere daman mein kuch na tha Zahra ne har namaz mein di hai tujhe dua tu ek tooti qabr hi Zahra ko de saka jab dekhte hai ujdi hui qabr e Sayyeda lagta hai jaise dhoop mein baithi hai Fatima Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 4. Zahra wohi ke jiske pisar hai Hasan Hussain Zahra wohi ke jiske hai shauhar shah e hunayn Zahra wohi ke jo dil e payghambari ka chayn aisa luta ye chayn ke ghar baar lut gaya ek dil tha Fatima ka jo sau(100) baar kat gaya Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 5. Pehlu mein aapke hai Hasan, Zainul Abideen Baqir bhi, aur Jafar e Sadiq bhi hai yahi haye kisi ki qabr salamat bhi ab nahi mehshar mein apna dard sunayegi Fatima ummat ne jo kiya hai bataengi Fatima Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 6. Ghurbat rasool zaadi ki padhti hai marsiya hasrat se takta rehta hai roza rasool ka aankho'n mein ashk cheekhte hai wa Mohammada farsh e azaa bichane ko aajaiye Imaam Zahra ka ghum manane ko aajaiye Imaam Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 7. Bibi tumhare laal ke ghumkhwaar aaye hai jaane kaha'n kaha'n se azadaar aaye hai nauha sunane aapke zawwaar aaye hai ye aarzu thi aankho'n se matti lagaenge socha na tha ke fateha padhne na payenge Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2) 8. Zawwar chup hai saara baqaiyya udaas hai karbobala khamosh madina udaas hai har ek nabi ka chahne wala udaas hai bibi ko qabr mein bhi sukoo'n hai na chayn hai hai pasliyo'n pe haath zabaa'n par Hussain hai Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2) Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)