لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye nehre alqama

Nadeem Sarwar2022
ShiaNohaLyrics
Haay Aye Nehar-e-Alqama - 2 Aaj Bhi Iss Bekasi Par Ro Rahi Hai Karbala - 2 Alqama Behti Rahi aur Qafila Pyasa Raha Aye Nehar-e-Alqama - 6 Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama Tera Mehman Tha Hussain Kyun Tere Pas Reh Ke Bhi, Oss Ko Mila Na Chain - 2 Tujh Se Hai Yeh Gila, Aye Nehar-e-Alqama - 2 Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama - 3 Khaimay They Ahl-e-Bait Ke Kitne Tere Qareeb Pyasay Hi Tere Samne, Woh Mar Gaye Ghareeb - 2 Roti Thi Karbala, Aye Nehar-e-Alqama - 2 Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama - 3 Mashkeza Jis Ke Hath Mein Tha Doosh Par Alam Sahil Pe Tere Aaye They, Abbas Ke Qadam - 2 Rutba Tujhe Mila, Aye Nehar-e-Alqama - 2 Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama - 3 Sokhi Pari Thi Mashk-e-Sakina Tarai Mein Do Bond Pani Kya Na Tha, Sari Khudai Mein - 2 Haye Tu Ne Yeh Kya Kiya, Aye Nehar-e-Alqama - 2 Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama - 3 Ik Bekasi Si Ahl-e-Haram Par Tamam Thi Kitni Udas Sham-e-Ghareebaan Ki Sham Thi Aye Wa Musibata Aye Nehar-e-Alqama Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama - 3 Nohon Mein Hain Jo Tazkira-e-Alqama HILAL Charon Taraf Hai Aaj Bhi Ik Matam-e-Malal Jari Hai Yeh Azza Aye Nehar-e-Alqama Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka Aye Nehar-e-Alqama Aye Nehar-e-Alqama - 3