لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chalta Rahe Karwan

Nadeem Sarwar2022
ShiaNohaLyrics
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho ×2 Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 1. Ye Karwaan Hai Ahle Aza Ka Ye Karwaan Hai Karbobala Ka Sar Pe Alam Hai Shah e Wafa Ka Ye Silsila Hai Sabr o Riza Ka Jab Tak Ye Dum Ho Maula Ka Gham Ho Gham Ye Na Kam Ho Har Aankh Nam Ho Mashk o Alam Ho Pasbaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 2. Is Karwaan Ka Hussain Rehbar Shamil Hai Isme Sheh Ke Bahattar Jinn o Malak Bhi Chalte Hai Mil kar Shamil Hai Hum Bhi Adna Se Nokar Bazm e Aza Hai Raah e Wafa Hai Sab Ki Sada Hai Sab Ki Dua Hai Roshan Rahe Ye Kehkashaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 3. Salaam Tum Par Hussain Walon Aey Azadaaron Aey Gham Gusaaron Ali o Zehra Ke Jaan Nisaron Ishq e Nabi (SAW) Ke Roshan Sitaron Aey Pursa Daron Aey Soagwaron Ghazi Ke Pyaron Sheh Ke Dulhaaron Tum Par Khuda Ho Meherbaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 4. Hussain Maula Ka Qafila Hai Majlis o Matam Ka Silsila Hai Nabi (SAW) Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hai Hussainiyat Ka Hami Khuda Hai Ya Rasool Allah (SAW) Ya Nabi Allah (SAW) Hum Sab Ke Aaqa Daaman Tumhara Hussainiyon Ka Saayebaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 5. Hussain Ka Gham Zinda Rahe Ga Matam Zamana Karta Rahe Ga Farsh e Aza To Bichhta Rahe Ga Hussaini Parcham Ooncha Rahe Ga Ye Azadari Ye Pursadari Ghar Ghar Hai Jari Giryaan o Zaari Noha Kunaan Hai Do Jahaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 6. Kya Shaan Hogi Is Karwaan Ki Jab Hoge Shamil Imam e Mehdi (atfs) Sharf e Ziyarat Hoga Humain Bhi Matam Bhi Hoga Majlis Bhi Hogi Hum Denge Pursa Karbobala Ka Har Be Khata Ka Har Be Rida Ka Maula Bhi Hoge Darmiyaan Chalta Rahe Ye Karwaan Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2 Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho Chalta Rahe Ye Karwaan ×2 Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×3