لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hazrat Imam Hussain

Nadeem Sarwar2022
ShiaNohaLyrics
Hussain... Hussain ..(2) Daae'n hasan, baae'n jari pusht panahi ko nabi..(2) sar pe khuda wand e jali.. sar pe khuda wand e jali seena sipar Zehra Ali Mere maula ko mayassar hai khazana kaisa inka rutba hai imamo me shahana kaisa kaise kaise hai naseebo me ujale inke mere aaqa ko.. mere aaqa ko mila hai ye gharana kaisa Marhaba Marhaba Mustafa ki baat mein ba khuda, ba khuda saari kayenat mein goonj raha hai bus ek naam.. hazrat imam hussain alaihis salam ..(4) lakho durood aap pa laakho salam hazrat imam hussain alaihis salam Allah ne kya khoob sawara hai sarkaar ke aangan mein utara hai har qaum ki aankho'n ka sitara hai hazrat imam hussain alaihis salam ..(2) haan.. Zinda'n hai hussain uska hai kirdaar bhi zinda kirdaar jo zinda hai to maiyaar bhi zinda maiyaar jo zinda hai to afkaar bhi zinda afkaar jo zinda to azadaar bhi zinda Ibteda, Ibteda - Mustafa ke dosh par Inteha, Inteha - naize par baland sar Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain Dilam dilam nazar nazar Ya Hussain Sadaqato ki rah guzar Ya Hussain Kaho kaho ba chashm e tar Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain..(2) Tareekh mein is jaisa na insaan milega aisa na koi ashiq e Rahman milega na aisa koi shah e shahidaan milega na aisa koi sabr ka sultan milega La ilaah, La ilaah - La ilaah ka pasbaa'n Dee'n panaah, Dee'n panaah - Mustafa ka tarjumaa'n Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Allah ne kya khoob sawara hai sarkaar ke aangan mein utara hai har qaum ki aankho'n ka sitara hai hazrat imam hussain alaihis salam ..(2) Haan.. Har dil mein ghum e sayyad e abraar milega har daur mein mazloom ka ghum khwar milega har qaum mein shabbir ka zawwar milega har mulk mein maula ka azadar milega Har jagah, har jagah - momino ke darmiya'n hai sadaa, hai sadaa - dhadkano ke darmiya'n Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain Dilam dilam nazar nazar Ya Hussain Sadaqato ki rah guzar Ya Hussain Kaho kaho ba chashm e tar Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain..(2) Hatho'n mein alam thaame wo aata hai azadar han majliso matam mein hi rehta hai azadar maa baap husaini ho to banta hai azadar maula ye tumhara hai, tumhara hai azadar Silsila, silsila - ye aza ka silsila Rabta, rabta - karbala se rabta Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Allah ne kya khoob sawara hai sarkaar ke aangan mein utara hai har qaum ki aankho'n ka sitara hai hazrat imam hussain alaihis salam ..(2) Shabbir ka dil dekhe zara, dekhe zamana Wallah kaha tha jo wohi karke dikhaya khushnudiye khaliq mein bhare ghar ko lutaya naize pe bhi aaya to usi shaan se aaya Badshah, badshah - hai dilo ka badshah Cha gaya, cha gaya - do jaha'n pe cha gaya Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain Dilam dilam nazar nazar Ya Hussain Sadaqato ki rah guzar Ya Hussain Kaho kaho ba chashm e tar Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain..(2) Haan.. Kis shaan se maqtal mein qadam rakhta hai shabbir kab jaan ki parwaah kiya karta hai shabbir darta hai na jhukta hai na ghabrata hai shabbir lakho bhi mukhalif ho to sach kehta hai shabbir Hausla, hausla - shah e dee'n ka hausla Sun sada, sun sada - do jaha'n ki hai sada Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Allah ne kya khoob sawara hai sarkaar ke aangan mein utara hai har qaum ki aankho'n ka sitara hai hazrat imam hussain alaihis salam ..(2) Haa aao kare hum shahe abraar ka matam islam ke mohsin ka madadgar ka matam asghar, ali akbar ka aur ansar ka matam zainab ka sakina ka alamdar ka matam Be khata, be khata - hai ghareeb e sayyeda hai bapa, hai bapa - tera ghum jagah jagah Goonj raha hai bus ek naam hazrat imam hussain alaihis salam Daae'n hasan, baae'n jari pusht panahi ko nabi sar pe khuda wand e jali seena sipar Zehra Ali hazrat imam .. hussain hussain ..(2) Haye shah e mashraqayn aye dile zahra ke chayn han mere maula hussain hazrat imam .. hussain hussain ..(2) aali maqam .. hussain hussain..(2) tum pe salam .. hussain hussain..(2) hazrat imam .. hussain hussain ..(2) haye shah e karbala aapka ghar lut gaya waada wafa kar diya hazrat imam .. hussain hussain ..(2) shah e zaman .. hussain hussain ..(2) zakhmi badan .. hussain hussain ..(2) tishna dahan .. hussain hussain ..(2) hazrat imam .. hussain hussain ..(8)