لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zamana Tumhara Ya Hussain

Nadeem Sarwar2025
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain Maula Ya Hussain - 4 Jag hai tumhara maula jag hai tumhara Dekho ya Hussain saara jag hai tumhara. Ya Hussain Maula Ya Hussain - 2 Wo Sadaaye halmin jo kal goonj rahi thi sehraa mein - 2 aaj talak, sadiyon se wohi goonj rahi hai duniya mein - 2 Aap akele thay Maula Aap akele thay Maula Ab saari duniya saath mein hai Saath bhi aisa, ke ab sab ka jeena marna saath mein hai Ya maula ya Hussain saara zamana Haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain tum akele nahin ho Ya Hussain - 2 Ye zameen-o-aasmaan keh rahi hai har zabaan keh raha hai Har nazara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain Hussain Hussain Hussain Maula maula Hussain Hussain Hussain - 2 Roz-e-Ashoora Lakhon mein tanha Hussain humko bula rahe thay Hal min ka naara hai ye ishaara Hussain sabko jaga rahe thay Zinda raha hai, zinda rahega Hal min ka naara Hussain ka har dil ki dua Har lab pe sada Ye khazana hai tumhara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain - 2 Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain tum akele nahin ho Ya Hussain Ya imame do jahaan sheh saware karwaan Tum Jahan ho hum wahan Ya Hussain Hum sab ka hai naara, Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Kal thay akele Karbobala mein Hussain Koi na tha tumhara Aur aaj aalam pukarta hai Hussain hamara Hussain hamara Badla hai kaisa, dekho nazara Har dil thikana Hussain ka Tum pe maula subho shaam Saari qaumon ka salaam Sab ne mil ke hai pukara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain - 2 Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain tum akele nahin ho Ya Hussain Ye zameeno aasmaan, keh rahi hai Har zabaan keh raha hai Har nazara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain Hussain Hussain Hussain Maula Maula Hussain Hussain Hussain - 2 Karodo dil hain jo aaj Maula Tumhari janib rawaan dawaan hai Labbaik Maula, Labbaik Maula Yahi sadaaye zabaan zabaan hai Har karwaan mein, har ek zabaan mein Naam aa raha hai Hussain ka Sab ka pyara Ya Hussain Sab ka naara Ya Hussain Har zamana hai tumhara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain - 2 Ya imame do jahaan sheh saware karwaan Tum Jahan ho hum wahan Ya Hussain Ye goonjay ga - 8 Ha naam Hussain ka goonjayga Sab galiyon mein, sab raahon mein Sab shehron mein, maidanon mein Dil ki dhadkan dhadkan mein,ghar ghar me aangan aangan mein Sehraon mein, daryaaon mein Sab zehno mein, ha nabjo me, naaro mein, baaton baaton mein Naam Hussain ka goonjay ga Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain tum akele nahin ho Ya Hussain Ye zameeno aasmaan, keh rahi hai Har zabaan keh raha hai Har nazara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain Hussain Maula Maula Hussain Hussain Hussain - 2 Salaam tum par Janab-e-Zainab Hussain ban kar dikhaya tumne Qadam qadam par suna ke khutbe Hussainiyat ko badhaya tumne Nauha sunaya, maatam karwaya Parcham uthaya Hussain ka Kabhi barsare bazar, kabhi barsare darbar Bibi Zainab ne pukara Ya Hussain tum akele nahin ho Ya Hussain - 2 Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain tum akele nahin ho Ya Hussain Ya imame do jahaan sheh saware karwaan Tum Jahan ho hum wahan Ya Hussain Hum sab ka hai naara Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain - 2 Kya bawafa the Hussain wale Jo Karbala mein the Para para Sadaaye Halmin woh sun rahe the Hussain ka tha ye istegasa Abbas! Aao mujhko sambhalo Koi raha na Hussain ka Di Shaheedon ne sada Tum pe ho jayein fida Mile jaan jo dobara Ya Hussain Tum akele nahin ho Ya Hussain Ya Hussain maula ya hussain - 3 Haazir hai, haazir hai Maula Maula Maula Hussain Maula Pursa lo pursa Hamara Maula Maula Hussain Maula har Dil mein hai gham tumhara Maula Maula Hussain Maula Ya Maula Hum na bhoolenge Karbala Hum na bhoolenge Ashura Rahega Sada ye naara Maula maula Hussain maula - 2 Haazir hai, haazir hai Maula, Maula maula Hussain maula - 4