لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Phool Si Bachchi Ko Tamacha Maara

Naeem Bhojani2020
ShiaNohaLyrics
Haye Sakina.... Haye Sakina Jisko Shabbir ne nazo se bahut paala tha Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara Naam naazo se bahut Sheh ne Sakina rakhkha Hubahu Fatima Zahera se tha milta chehra Lab pe raheti thi sada jiske aye baba baba Haye us phool si bachchi Ko Tamacha mara Sheh Ne allah se manga tha namaze shab me Haaye sine pe sulate rahe maula Apne Chand bhi dekh na paya Tha Ha jiska Chehra Haye us phool si bachchi koTamacha mara Ek qadam jite ji gaazi ke zami pr na chali Itne naazon se shahewala ki beti thi pali Naaz abbas uthate rhe aksar jiska Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara Jisko khud apni yatimi pa likha tha Rona Bap ke bad hua khaq pe ja kar Sona Uth Gaya baap ka jis beti ke sir se saya Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara Is qadar dashte bala me thi udaasi chaayi Bekafan baap k lashe pe nahi ro payi Uski aankhon se tapakta tha Lahoo ka qatra Haaye us phool si.... Aalam e Tashnalabi aur faza me garmi Itna sunsaan tha jungle wo bahot thi sahmi Jis ne khul kar na kaha honton se apne baba Haye us phool si bachchi ko ....... Aag daman me lagi kaano se bundey chheene Jo Na socha tha kabhi wo bhi sitam us pe huye Jis pe khoo roya tha sahrao ka zarra zarra Haaye us phool si bachchi ko... Ooñt ki pusht pe bandha tha sitamgaroñ ne Zulm karte huye phir le gaye bazaroñ me Jiske halaat pe rota tha zamana sara Haye us phool si bachchi ko....... Bosa jin hathon ka lete the hussain ibn e ali Haaye un hathon me bandhi thi laee'n ne rassi Balway e aam me sir nange phira kr aada Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara Dard Farhan o Naeem aur badha Jata hai Jab Sakina ka Kahi nauha padha jata hai Bus yahi soch ke phatta hai kaleja mera Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara