لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Al mazloom al masoom

Nasir Zaidi1990
ShiaNohaLyrics
as-salam alaika ayyohal mazloom as-salam alaika ayyoha-sh-shaheed, al masoom Aayi hai buka karti, firdaus se ye zehra as-salam alaika ayyohal mazloom shabbir pe aada ne bejurm kiya nargha as-salam alaika ayyoha-sh-shaheed, al masoom..(2) 1. Khat bhejke pehle to bulwaya laeeno ne phir dashte bayaba'n mein..(2) kunbe ko mere ghera al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 2. Wo dhoop, wo loo, sehra garmi wo qayamat ki mehmano ko aada ne..(2) seh roz rakha pyaasa al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 3. Zainab ke pisar dono kamsin the pyaase the in zalimo ne ran mein..(2) bachho ko mere maara al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 3. Pamaal sume aspaa tan kar diya maqtal mein farzande hasan qasim..(2) ek raat ka dhula tha al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 4. Kaate gaye darya par paani ke ewaz baazu abbas ka sar misle..(2) haider kiya do paara al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 5. Peeri ke sahare ko maa baap ki dharas ko tukde kiya naize se..(2) seena ali akbar ka al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 6. Paani na diya qatra cheh maah ke asghar ko shabbir ka baazu aur..(2) shishmaahe gala cheda al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 7. Ghode se gira jis dum jalti hui reti par teero pe muallaq tha..(2) dilbar ka mere laasha al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2) 8. Majboor hai muflis hai lekin ye tamanna hai aye kaash kahe aakar..(2) roze pe anees aaqa al mazloom al masoom..(2) ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain al mazloom al masoom..(2)