لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tera sadqa husain

Nasir asghar party2013
ShiaNohaLyrics
Ya husaina husaina husaina gir gir zamee pa teero pa thehra jo jisme shaah Ya husaina husaina husaina manzar ye dekh rote rahe saare ambiya besakhta ye nara e takbeer ne kaha tera sadqa husain..(4) husain husain husain tera sadqa husain..(4) Ya husaina husaina husaina 1.  Roti rahi namaz musalla bhi ro pada pyasa husain zeen se jab khaak par gira sar ko kata ke kardiya baland la ilaah arshe bari se khaliq e akbar ne di sada tera sadqa husain..(4) 2.Apne karam se rasme karam kar karam kiya tune wo mezbaan ka haq hai adaa kiya karbobala ye kehti hai shabbir shukriya sehra ko tune arsh e mo'alla bana diya tera sadqa husain..(4) 3. Aine lailah ki buniyaad hai husain khaliq jo kar rha hai wo faryad hai husain hur ka zameer aaj bhi sarshaad hai husain insaan tere dum se hi azaad hai husain tera sadqa husain..(4) 4. Haq ko baland karke rukega ye karwaan udti rahegi parcham e batil ki dhajjiya qabr e batool aaj bhi karti hai ye fugha haq ki baqa ke waste bolegi har zabaa tera sadqa husain..(4) 5. Binte ali zamee pe giri thaam kar jigar zehra ke dono haath bukai wa nauhagar qurban kar diye hai pisar dono bhai par zainab ye keh rahi thi bayaba me nange sar tera sadqa husain..(4) 6. Bikhra pada tha azmate tauheed ka quraan beemar e karbala pe ajab tha ye imtehan pehlu me saath jiske sakina thi neem jaan naize pe sar husain ka dekha to di azaan tera sadqa husain..(4) 7. Binte ali ne sabr ka har imteha diya ankho me ashk aaye to ashko ko piliya kufa ki shahzadi ne paidal safar kiya raahe khuda me jo diya ye soch kar diya tera sadqa husain..(4) 8. Yawar har ek ghum ka madawa hai ya husain momin ki zindagi ka asasa hai ya husain qur'an e karbala ka khulasa hai ya husain khaliq jo padh raha hai wazifa hai ya husain tera sadqa husain..(4)