لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ajeeb dasht ka manzar

Naved Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Ajeeb dasht ka manzar dikhayi deta hai—2 gale pe shah k khanjar dikhai deta hai Ajeeb dasht ka manzar dikhayi deta hai 1-kahin pe jaun ka lasha kahin habeeb ka tan Nabi k chahne walon ka khaak pe hai badan kahin pe lashaye akbar dikhayi deta hai. ajeeb dasht ka manzar—2 2-kheza ne cheen li sari bahar gulshan se juda kiya hai yahan sar ko zulm ne tan se faqat lahu ka samandar dikhayi deta hai. ajeeb dasht ka manzar-2 3-kisi k hath me naiza hai aur kisi k hai teer koi dikhata hai lahra k hath me shamsheer koi utarta chadar dikhayi deta hai ajeeb dasht ka manzar-2 4-chala jo gardame saarwar pe zulm ka khanjar har ek nabi ki nigahe thi shah k upar lahu me chehraye sarwar dikhai deta hai ajeeb dasht ka manzar-2 5-falak bhi dekhe to ab kis tarah bhala dekhe ki jalti ret k upar baghair hatho ke tadapta koi ghazanfar dikhai deta hai ajeeb dasht ka manzar-2 6-Badan me bacho k naize chubha raha hai koi wo aag khaimaye shah me laga raha hai koi koi utarta chadar dikhayi deta hai ajeeb dasht ka manzar-2 7-Tamache kha k koi dil hi dil sisalta hai kisi k kaan se ab tak lahu tapakta hai kisi k hath me gauhar dikhayi deta hai ajeeb dasht ka manzar-2 8-Kalam ko rok lo “AZAM” kahan hai  taabe bayan hua hai kis tarah matam kahan hai taabe bayan bas ek hashr ka manzar dikhai deta hai ajeeb dasht ka manzar dikhayi deta hai-2