لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mera seena phuphi amma

Naved Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Lag gyi dil pe sina ye na batana Amma mera seena phoophi amma se chupana amma-2 1-kahna zakhmi hai zara dam me sambhal jayga shahe waala ne dua ki hai sukun aayega ghash me dekhe to batana ye sitam pyas ka hai khuna kapdon pe jo dikhta hai wo abbas ka hai lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se-2 2-dard zakhmo me jo shiddat se machal jata tha ya ali kah k main maqtal me sambhal jata tha ye na kahiyo ki shahe deen utha laye hain kahna khud apne kadam ran se chale aye hain lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se-2 3-amma batla lo zara usko bhi ye bat shikab kahin unse ye na ye kah de mera rahwar okaab mujhse pahle hi phuphi jaana guzar jayngi ghash me dekhengi to jeete hi ji mar jayngi lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se-2 4-mujhse kahti thi madeene me phuphi jaan aksar tumko allah ne wallah banaya akbar na wo din aye kabhi tumse juda ho zainab yusufe karbobala tumpe fida ho zainab lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se chupaana amma-2 5-Ran se aakar ali akbar ne ye madar se kaha aap rahna phuphi amma se khabardar zara mujhse kahti thi tera dam hai mere jeene ko ran se allah bacha laye tere seene ko lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se chupana amma-2 6-Dam nikalne na diya jan se ghuzarne na diya kahna akbar ko tere pyar ne marne na diya han wahi usne kiya tumne jo farmaya hai lakh zakhmi hai magar laut k ghar aaya hai lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se-2 lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se chupana amma