لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bazar Hai Pathar Hai Zainab Ka Khula Sar Hai

Nazim Party2007
ShiaNohaLyrics
Bazar hai pathar hain zainab ka khula sar hai Har zakhm pey shukrana zainab kay laboon per hai Ek girya e khooni ki jaati hi nahi laali Sajjad ki ankhun ko daikha hi nahi khali Ya khoon hai ankhun main ya sham ka manzar hai Latka dar e koofa pey daikha hai koi lasha Kyun ch'oub sy mehmil ki zainab nay hai sar maara Ay bakht lahuu sy kyun zainab ki jabeen tarr hai Yeh shour e buka kiya hai matam ki sada kia hai Tauheed bachae jo woh karb o bala kiya hai ya hai sar e sarwar ya zainab teri chadar hai Yeh sham e gareeban sy pur haul bayaban tak Bazaar sy kofa tak darbar sy zindaan tak Beyreham tamachay hain aur shah ki dukhtar hai Takrati hai sar apna jae tu kahan jae Masoom sakina ko ghash ae kay maut ae Jiskay liye zindaan main bus khaak ka bistar hai Woh qal'b thay kaisay jo jan lay gae sarwar kii Pathar to woh hai jisnay pathar ki haya rakhi Ae Sang e Halab tujhko kaisay kahuun pathar hai kyun hai hussaina ka ik shour sa uthta hai sar Ghazi ka naizay sy kyun khaak pey girta hai Ghazi ki behan shayad balway main khulay sar hai Maqtal nay khuda janay kia ch'een lia iska Ek haath kaleejay per rehta hai dhara jiska Lagta hai mujhy shayd yeh madar e akbar hai Ek karb o bala awal ek kar o bala akhir Kehtay hai naveed usko shabbir jo hai zahir Aur jo pas e parda hai woh zainab e muztar hai.