لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas-e-alamdaar

Rizvi Mohd Sadiq Hallauri2023
ShiaNohaLyrics
Shabbir Ke Rauze Pai Woh Jata Hai Azadaar Abbas Ata Karde Jisee Neamat E Deedar Ghazi Se Dua Kijiye Talab Sadiq O Danish Humko Bhi Bhula Lijiye Abbas-e-alamdaar Jab Zaire shabbir ki fehrist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Momin ke liye Karbobala rab ki hai naimat Jannat hai ye jannat hai ye jannat hai ye jannat Bechain hai dil kar ke ziyarat mile rahat Ai sab ke madadgaar bana de meri kismat Taqdeer ke taaer ko u parwaz karana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Ye sach hai ki sarwar ki ziyarat na milegi Jisko mere ghazi ki ijazat na milegi Daulat badi mil jaegi izzat na milegi Sach kehte hai hargiz ye sa'adat na milegi Roze pe bulakar meri izzat ko badhana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Sajda karu aa kar tere kadmo ki zamee par Aur khakh tere dar ki lage meri jabe par Khidmat tere zaier ki karu ake wahi par Ab koi bhi arman mera baki nahi par Bas ek tamanna hai tere roze pe jana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Waha jake manana hai mujhe ap ka chehlum Qasim ne dikhaya tha jaha tarz e takallum Asghar ne chalai thi jaha teg e tabassum Ja teg e tabassum se tha aada me talatum Jis ja ye ikattha hui anjum wo dikhana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jaunga waha banne Sakeena ka mai sakka Aur pani pilaunga azadaro ko maula Mil jae sharaf khidmate zaier ka jo aaka Mai apne mukaddar pe sada naaz karunga Faryaad hai kashti ko meri par lagana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Waha jaunga akbar ko jaha barchee lagi thi Wo teela bhi dekhunga jaha bibi khadi thi Jaha ahele haram ke liye mushkil ki ghadi thi Bhai ka gala kat te behen dekh rahi thi Akbar ka tumhe wasta ab jald bulana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Ek din me jaha lut gayi Zahara ki kamai Shabbir se bichda jaha Abbas sa bhai Aur khoon se hue surkh jaha daste hinaai Roti thi jaha ale Mohammed pe khudayi Aye maula makaam awon O Mohammed ka dikhana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Aye maula humari hai ye dili khwahish Dehleez pe sar shaah ki rakhe sadiq o danish Shabbir se kar dijiye hum sab ki sifarish Karte ho karam sab pe ho hum par bhi nawazish Hai apki mutthi me hi bakshish ka khazana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana Jab zaire shabbir ki fairist banana Abbas e alamdar mujhe bhul na jana