لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye masjid e kufa

Rizwan Ali Zaidi2017
ShiaNohaLyrics
Sajde mein namazi pe hua zulm ye kaisa aye masjid e kufa, aye masjid e kufa Damaad e payambar ka lahu kisne bahaya aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 1. Zainab ke kaleje pe chala zulm ka khanjar roti hai tadapkar jibreel khabar unki sunane juhi aaya aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 2. Is zulm se aghaaz hua karbobala ka har lab pe hai nauha masroof hai matam mein mohammad ka gharana aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 3. Hasnain chale ghar se khabar ghum ki ye pakar kehte the ye rokar ab sabr ka yaara nahi phat-ta hai kaleja aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 4. Baithi thi sirhane koi payro ko sambhale karti rahi naale unniswi tareekh ko is tarha guzara aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 5. Phir ghusl o kafan shabbar o shabbir ne dekar zainab ko bulakar gharwalo ko bhi aakhri deedar karaya aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 6. Al qissa wasiyat se jo farigh hue haider barpa hua mehshar ek aakhri hichki ne zamane ko hilaya aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 7. Ekkiswi ramzaan ka din tha ke qayamat aayi thi musibat zainab ne kaha waqt e yateemi hai hamara aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 8. Ghar se jo chala haider e safdar ka janaza tha shor buka ka har fard ye kehta tha ke faryaad khudaya aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 9. Gehware ko ek simt se hasnain uthakar chalne lage rokar ek simt se mayyat ko farishto ne uthaya aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein.. 10. Mazhar ye qalam rota hai dil kaanp raha hai matam ki sada se kis tarha likhu haider e qarrar ka nauha aye masjid e kufa, aye masjid e kufa sajde mein..