لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaisa yeh safar hai

Rizwan Rizvi2018
ShiaNohaLyrics
Ghar ka sukoon chod ke lo jaa raha husain Kaisa yeh safar hai Kaisa yeh safar hai. Qurbaan hone jaa rahe sab lakhte jigar hain. Kaisa yeh safar hai Kaisa yeh safar hai. Battis baras ka bhai hai Zainab ka saath hai Kadiyal jawaan qaasimo Akbar bhi saath hain. Lagta hai jaise sog me Har shamso qamar hai. Kaisa yeh safar hai....... Sughra tadap rahi hai Mujhe saath le chalo. Tanha mai jee na paaungi Humraah le chalo. Seene se lagaaye bani hashim ka qamar hai. Kaisa yeh safar hai...... Maa ki lahed pe aaye hain . Rukhsat ko shahedee. Turbat pe sar ko rakhte hue Maa ko sada dee. Amma salaame aankhri lo Jaata pesar hai. Kaisa yeh safar hai..... Ek ek sawaar hoke Amaari me bibiyan. Mahmil me chalin leke yeh Yeh ghar baar bibiyaan. Hat tee hi nahin bhai se Sughara ki nazar hai. Kaisa yeh safar hai........ Haatho me alam thaame alamdar chala hai Saqqa e haram ka siph e salar chala hai Har simt phela huwa noorani asar hai Kaisa yeh safar hai....... Sughara bahen se lag ke gale roi zaar zaar. Har bibiyoun ki aas hain Abbass e alamdaar. Pardes me jo guzregi Yeh sabko khabar hai. Kaisa yeh safar hai...... Mud mud ke bhai dekhta deudhee pe baar baar. Sughara main lene aaounga Karna tum intezaar. Haafiz khuda tumhaara Hume karna sabar hai Kaisa yeh safar hai..... Lamha bhi woh ajeeb tha kaisa sada armaan. Apne labon se jisko Bayaan kar gaya rizwaan Aasoon bahaati sunke jise Sabki nazar hai. Kaisa yeh safar hai.....