لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi

Rizwan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Lahu se aaj haidar ke Dare mahraab hai rangee Lagi talvaar haidar ko Musalla ho gaya zakhmi. Jo miskeeno ka tha miskeen Yateemo ka sahaara tha Jo raato ke andheron me Har ek ghar ka ujaala tha. Sakhi ibne sakhi ko Ibne muljim ne kiya zakhmi. Lagi talvaar haidar ko Musalla ho gaya zakhmi. Pachaade khaate hain zainab Kabhi kulsoom roti hain. Ali ki aankhri rukhsat khuda ke ghar se hoti hai. Hui viraan masjid har daro Deewaar hai ghamgee. Lagi talvaar haidar ko Musalla ho gaya zakhmi. Bine muljim ne haidar ke gharaane par, sitam dhaaya. Lagaai tegh woh kaari Namaazi ko gaya maara Utha kaandho pe laasha haay kaleja ho gaya chalni. Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi. Lo aayin khuld se zahra Rasoole paak rote hain. Jhukaaye sar khade dar par Kabhi jibreel rote hain. Mere maula ke gham ne Har dilo ko kar diya gham gee. Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi. Nabooat ki imaamat ki Jo ban ke jaan aaya tha. Rajab ki teraah ko kaabe ki Ban ke shaan aaya tha. Gaya woh aaj dunyaa se Fizaahe cha gayin gham ki. Lagi talvaar haidar ko Musalla ho gaya zakhmi. Mere maula ne sharbat ka pilaaya jaam qaatil ko. Lagaai zarb jisne kar diya Aazaad qaatil ko. Sakhi aise mere maula ki Kaisi zindigi kar dee. Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi. Sada armaan ka maula salaame aankhri le lo. Aye maula apne saaye me Har ek gham khaar ko le lo. Padho rizwaan nauha Aaj hai har matmi gham gee. Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi