لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Darmiyaan e Dar O Deewar pisi Hain Cheekhein

Rizwan Rizvi2020-21
ShiaNohaLyrics
Ummat se pareshaan muhammed ki Dulaari Karti thi jigar tham ke bus girya o zari Hasnain ko dekha kabhi haider ko pukari Yeh Gham dil e zehra ke liye kitna tha bhari Ankhoon mai dehekte hue ashko ki ladi thi Be sakata mohsin jo mara cheekh padhi thi Darmiyaan E Dar O Deewaar Pisi Hain Cheekhein Ashk Ban Kar Kabhi Aankho'n Se Bahi Hain Cheekhein Reza Reza Kahi Ik Phool Ka Bikhra Hai Wujood Dheere Dheere Kisi Goshe Se Uthi Hain Cheekhein Dhoondh kar dekh zara raakh mei mil jaayegi Jalte darwaaze k hamraah jali hai cheekhein Pasliya Chatkhi Thi Jis Lamhe Me Seydaani Ki Usi Ik Lamhe Ki Sadyo'n Ne Suni Hain Cheekhein Ho gaya larza bar-andaam moarrikh ka Qalam Itni tareekh k kaanoN mei basi hain cheekhein Jaise gir ke kahi taaza lahoo jamm jata hai Daaman e waqt pa is tarha jamee hain cheekhein Abr E Gham Toot Ke Barsa Hai Shikasta Dil Par Tab Kahi Jaake Bahaaro Ki Thami Hain Cheekhein Zakhm E Taaza Pa Naye Zakhm Ka Marham Rakh De Abhi Zinda Hu Main Kuch Baaqi Abhi Hain Cheekhein Zulm Ne Jinko Madeene Me Dabaana Chaha Saare Aalam Me Wahi Goonj Rahi Hain Cheekhein Uska Gham Nazr E Qalam Kar To Diya maine nadeem Mere Har Lafz Ke Pehloo Se Uthi Hain Cheekhein