لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbobala Ke Ban Mai

Rizwan Rizvi2023
ShiaNohaLyrics
Paani nahi baha hai ye Mashke Sakeena se Karbobala ke ban me Bikhre hue pade hain qalbe Jari ke tukre Karbobala ke ban me Jb aankh me shaqi ne teer e sitam lagaya Pushte Faras pe Ghazi be-dast dagmagaya Phir gurz ik achanak zalim ne maara sar pe Karbobala ke ban me Bhai ki aankh se jb teer e jafa nikala Kis tarah qalb e muztar Shabbeer ne sambhala Rone lage laga ke Ghazi ko phir gale se Karbobala ke ban me Badle sabhi Jari se ajdaad ke liye hain Ghurbat me yu'n mazalim Abbas pe kiye hain Neza kisi ne mara patthar kisi ne maare Karbobala ke ban me Ik bazu tha kahi'n pr aur doosra kahi'n pr Be goro be-kafan tha tukre badan zami'n pr Haidar ke Laal pr ye aada ne zulm dhaaye Karbobala ke ban me Maqtal se jb guzara Saidaniyo ko haye Laash e Jari pe zalim hans hans ke ye pukare Imdaad kr bahan ki roti hai sar jhukaye Karbobala ke ban me Tadfeen ke liye jb Sajjad e zaar aaye Ammu ki haal e ghurbat pr ashk e gham bahaye Chadar me phir badan ke tukre sabhi samete Karbobala ke ban me Bachho ke jal rahe hain tashna labi se seene Baba batao Ammu kb aayenge darya se Bachhi ke the musalsal hontho pe yehi naale Karbobala ke ban me Ghurbat ye Ba-wafa ki dunya bhulaye kaise Sahil pe alqama ke hath uske jab kate the Kis tarah mu ke bal wo zee'n se gira zamee'n pe Karbobala ke ban me Sajjad se tarap kr Binte Ali ye boli Asghar ke jaisi turbat kyu'n hai mere Jari ki Bhai ki phir lahad se rone lagi lipat ke Karbobala ke ban me Rizwan aur Aqdas Zahra ke dil o jaa'n ka Ab hashr tk rahega hr dil pe naam likkha Ghazi ne Dee'n bachaya apna lahu bahaake Karbobala ke ban me