لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shah Ast Hussain, Jab Wada E Tifli

Rizwan Rizvi2023
ShiaNohaLyrics
jab waada e tifli ko wafaa kar chukey shabbir sar maarka e karbobalaa kar chukey shabbir khanjar ke taley shukr e khudaa kar chukey shabbir ummat ke liye haq se duaa kar chukey shabbir teeroN ne sameTaa shah e bekas ka musallaa tharraayii zameeN, kaaNp uthaa arsh e moAllaa jo kaam thaa bhaai kaa bahen ne wo saNbhaalaa jalte huwe khaimey se bhatije ko nikaalaa dam toRh gayaa saamne har god kaa paalaa lab tak na bar aayaa dil e betaab se naala elaan kunaa naara e taqbeer thii zainab haaN naasira e maqsad e shabbir thii zainab chaadar jo chini saaqi e kausar ko pukaaraa qaasim ko sadaa dii, Ali Akbar ko pukaaraa har zulm pe Abbaas e dilaawar ko pukaaraa jhuley meN lagii aag tau asghar ko pukaaraa royi kabhi, khaimoN ki kabhi aag bujhaayii beemaar bhatijey ki kabhi aas baNdhaayii al kissaa namudaar huyii shaam e gharibaaN taarikiyoN meN duub gayaa ganj e shaheedaaN eak adh jaley khaimey meN haram baithey haiN giryaaN sehme huwe bachhey haiN tau zainab thii pareshaaN rotii thi koii bibi tau detii thii dilaasey chuauNk uthhey na masoom, abhii soye haiN pyaasey phir uthhi baRhey Azm se haider ki dulaarii eak chub jaley khaimey ki haathoN meN uthaayi sunsaan bayaabaan pe pehle tau nazar kii phirne lagii phir khaimoN ke chaugird wo bibi alllah re himmat, barhii zeeshaan thii zainab soye huwe bachhoN ki nigehbaan thii zainab naagaah sawaar eak nazar saamne aayaa tharraane lagii jaan o dil e faatemaah zahraa bolii ke khabardaar, wahiiN rok ke ghoRhaa ro ro ke abhii soye haiN masoom, taras khaa keh de umar e sa’ad se lillaah ye jaakar kal din meN ujaale meN hameN looTnaa aakar zainab ki sadaa sun ke bhii Thehraa na jab sawaar tab bint e Ali ghaiz meN aage baRhii eak baar chillaayii ke o baani e bedaad o jafaakaar suntaa nahiiN tuu, kehtii hooN meiN jo jigar afgaar anjaam bhii tuu rukne kaa ab jaan le zaalim beTii hooN Ali ki, mujhe pehchaan le zaalim ye kehte huwe Daal diyaa haath Anaa par ab chaahiye kyaa looT liyaa jab ke bharaa ghar hooN laakh gharibul vatan wa bekas o muztar majboor samajhna na mujhe phir bhii sitargar kyaa khauf mujhe, apne iraadoN pe jo tu hai in baazoo’oN meN faatemaah zahraa kaa lahoo hai aage jo baRhaa, hogii qayaamat abhii barpaa fariyaad merii pohchegii taa arsh r moAllaa aur suu e najaf haath agar maine uthaayaa aa jaayeNge imdaad ko fauran mere baabaa Sar tan pe na hogaa jo zaraa be adabi kii zainab hai meraa naam, nawaasi hooN nabii kii jab baat sunii betii ki, aswaar pukaaraa zainab meiN teraa baap hooN, pehchaan khudaaraa kin aaNkhoN se dekhuN ye jigar soz nazaaraa tuu dukh sahey aur mujh ko ho aaraam gaNwaaraa shab bhar meiN tere khaimey kaa darbaan rahuNgaa taa subha isi dasht meN mehmaan rahuNgaa dukhiyaarii ne jab ghaur se chehrey pe nazar kii nazdeek e raqaab aayii, qadam chuum ke bolii baabaa mere kyoN aan ke pehle na khabar lii maaloom hai kyaa aap kii aulaad pe guzrii gham khaane ko ye bekas o naachaar hai baaqi mardoN meN faqat aabid e biimaar hai baaqii jab sar mere bhaai ki kaTaa, aap kahaaN they jab khaatemaa akbar kaa huaa, aap kahaaN they beshiir ke jab teer lagaa, aap kahaaN they jab sar se chHini merii ridaa, aap kahaaN they Dhaaras ke liye beTii ki ab aaye haiN baaba saaraa meraa ghar looT gayaa ab aaye haiN baaba jab meiN huyii aawaaraa vatan, aap kahaaN they looTaa gayaa zehraa kaa chaman aap kahaaN they TukRhey huaa Abbaas kaa tan, aap kahaaN they baaNdhii mere aAdaa ne rasan, aap kahaaN they shabbiir ke jab halq pe shamshiir chalii thii sach kehtii hooN, meiN aap hii ko dhundh rahii thii paamaal huaa sheh kaa badan aap na aaYe paamaal huaa ibn e hasan aap na aaYe bewaa huyii eak shab ki dulhan aap na aaYe kyoN leke bahattar kaa kafan aap na aaYe aa jaate tau iss tarah na taqdeer badaltii yuN pyaase ke halqoom pe shamshiir na chaltii zainab se kahaa, haashmi haider ne ye rokar meiN saaye kii maanind tere saath thaa dilbar hai pesh e nazar ab bhii qayaamat kaa wo manzar jis waqt ke chiini gayii sar se tere chaadar meiN bakshish e ummat kaa sabab dekh rahaa thaa khaamosh khaRhaa marzii e rab dekh rahaa thaa