لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

sahibe zulfiqar al madaday

Sachey Bhai2008
ShiaNohaLyrics
Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Ran main Shabbir aaj hain tanha Dasht main lut gaya bhara kunbaa Ashqiya hain kiyay hoay narghaa Hai sitam ka hisaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Khaak per hai Sawar e dosh e Nabi Tashna lab hain Hussain ibne Ali Kund khanjar hai aur shimr shaqi Hai haram ki pukaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Raah e Kufa hai Shaam ka bazaar Hain rasan basta Zainab e Ghamkhaar Sar khulay Bibian hain aur darbar Sakht hai rehguzaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Ban kay qaidi Imaam jaaain gay Baidiaan pehnay Shaam jaain gay Sar e darbaar e aam jaaain gay Hongay sab sharamsaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Aap Maula e kull hain Shah e Najaf Haq ne bakhsha hai aap ko yeh sharaf Shah hain tanha adu hain charon taraf Behr e Parwardigaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Ab na Abbas hain na Akbar hain Taptay maidaan main khulay sar hain Baysahara hain aur bay ghar hain Aai ghareebon kay yaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Aap Mushkil Kusha zamanay kay Aap Haajat Rawa zamanay kay Aap Khairul Wara zamanay kay Sahib e Ikhtiaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday Tujh ko kis baat ka hai gham Mehshar* Sar pay Ghazi ka hai alam Mehshar* Bas yeh keh kar utha qadam Mehshar* Hashar kay Taajdaar al madaday Sahib e Zulfiqar al madaday Shah e Duldul sawar al madaday