لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Koi pehchan na le

Sachey Bhai2017
ShiaNohaLyrics
Haye shaam, haye sham..(2) koi pehchan na le..(2) haye har gaam pe hai ehle haram nauha gar koi pehchan na le..(2) Be rida aale nabi ko kahi'n dauran e safar koi pehchan na le..(2) haye har gaam pe hai ehle haram nauha gar koi pehchan na le..(2) 1. Aayi thi kufe mein ban kar jo kabhi shehzadi kal talak karti thi jis shehr pe zainab shahi kabhi hukmura'n thi is shehr ki thi jis ki yaha'n hukumat kabhi aaj kufe mein wohi aayi hai qaidi bankar koi pehchan na le..(2) 2. Kaise batlau bhala jo tha ta'arruf mera maa hu akbar ki mera naam hai umme laila sare shaam hai ajab marhala tu naize pe hai mera sar khula kar rahi hai ye dua aaj teri maa akbar koi pehchan na le..(2) 3. Malik e kausar o tasneem hai nana mera bhai Hasnain hai aur baap Ali maa Zehra ye qismat kaha'n mujhe laayi hai musalmaan har tamashayi hai sar jhuka leti hai ye soch ke binte haider koi pehchan na le..(2) 3. Aaj hai zainab o kulsoom ke sar bechadar haath paband e rasan aur hue gird e safar aseer e sitam hai saydaniya hai ye nauhagar nabi zadiya'n nauke naiza pe buka karta hai shabbir ka sar koi pehchan na le..(2) 4. Nauke naiza pe nazar aate hai jo chand se sar wo jo bimaar hai ghash aata hai jisko aksar aseere jafa aseere sitam sare shaam hai nabi ke haram haye kis haal mein hai Ahmed e mukhtar ka ghar koi pehchan na le..(2) 5. Qafila ehle haram, qafila salaar hu mai mere kunbe pe sitam hote hai ghum khwar hu mai khule sar haram sare rah guzar mai kuch is tarha hu mehwe safar khauf taree yehi rehta hai hamesha dil par koi pehchan na le..(2) 6. Aaj ye ehle haram pe hai sitam aarayi tanz karta hai koi kehta hai koi baaghi bade dil shikan ye haalat hai ghareebul bewatan ye sadaat hai maare ghairat ye dua maang rahe hai muztar koi pehchan na le..(2) 7. Jiska parda tha mujhe jaan se badhkar pyara aaj bazaar e jafa mein hai wohi be parda sare sham hai behan sar khule basad ranjo ghum ye kehte hue gir gaya khaak pe naize se alamdaar ka sar koi pehchan na le..(2) 8. Ho hamid abidi is ghum ka madawa kaise bhule wo zulm bhala saniye Zehra kaise qadam dar qadam musibat mili jafa kaun si na safdar hui sham mein zainab e muztar ne dua ki rokar koi pehchan na le..(2)