لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jaao baba jaldi laut aana

Safdar Abbas2004
ShiaNohaLyrics
Rakh ke sar seena e sarwar pe sakina boli chhod kar ammu gaye aur gaye sab bhai ab na mera sabr aazmana jao baba jaldi laut aana..(4) 1. Baad aapke hume ye ashkiya'n sataenge mai kise bulaungi gauhar jo cheene jaenge ye laee'n jalaenge hamare khaimagaah bhi aap agar na aae to ye mujhpe zulm dhaenge seh nahi sakungi taziyana 2. Janti hu mai ke sakht aapka hai imtehaa'n aap be watan, ghareeb tashna lab hai babajaa'n kar rahi hu mai dua khuda ki baargaah mein jaa rahe hai aap jo sitamgaro ke darmiyaa'n hogaya hai sang dil zamana 3. Keh gaye the ammu jaan ran se laut aaenge pani mere waaste wo alqama se laenge itne zakhm sehke dil pe kis tarha jiyungi mai tanha chhod kar mujhe ab aap ran ko jaenge kis qadar kathin hai ghum chupana 4. Der hogayi jo aapko to kya karungi mai aapke baghair raat ko na so sakungi mai aap jo na aaye aur ban me raat hogayi beqaraar aap aur besukoo rahungi mai jaake ran me na mujhe bhulana 5. Hai ajeeb waqt kaise aapko juda karu kaise aapko mai baba jaan alwida kahu marziye khuda ke saamne zubaan band hai dil magar ye keh raha hai aapko mai rok lu hai naseeb me ye ghum uthana 6. zalimo ko is qadar hai dushmani kyu aapse band kardiye hai karbala ke saare raaste pehre itne sakht kar diye labe furaat par fauje ashqiya khadi hai alqama ke saamne pani mere waaste na laana 7. Jaanti hu tashnagi se khushk hai mera gala garm hai hawa sulag rahi hai rege karbala mere jaanesaar saare ran me jaake sogaye mera dasht me hai kaun sirf aapke siwa meri tashnagi ko bhool jaana 8. Kaise aapki madad karu mujhe bataiye baba aap tanha fauje shaam me na jaiye subho se gaya jo ran me laut kar na aa saka aap laut aaenge mujhe yaqee'n dilaiye ya mujhe bhi ran me tum bulaana 9. De rahi hu aapko khuda ki mai panaah mein aanch aae koi aap par na qatl gaah mein haath jod kar ye arz kar rahi hu babajaa'n ran me aap ho jahan rahe meri nigaah mein door na meri nazar se jaana 10. Safdar e hazee'n ye bayn sunke shahe behrobar bole waqt e imtehaa'n hai shaahzadi sabr kar ran ko jaa raha hai tashna lab ghareeb bekhata ae sakina laut kar na aaega tera padar ab na kehke tu mujhe rulaana jaao baba jaldi laut aana..(8)