لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Neher se aati hai ye sada

Safdar Abbas2008
ShiaNohaLyrics
Fauje alqama, kar rahi hai bain lut gayi zainab lut gaye hussain binte shahe la fata kar rahi hai marsiya haye alamadar neher se aati hai ye sada qatl alamdar ho gaya Pyaase the sab nauha gar thaam li sheh ne kamar..(2) zainab e dilgeer ne kaha qatl alamdar ho gaya 1. Kitna wafadar tha sab ka madad gaar tha saaya e deedar tha, fauj ka salaar tha hogaye lachar hum kehte hai shahe umam..(2) ro rahi hai saath mein wafa qatl alamdar ho gaya 2. Dukhtar e shahe umam kaise sahe ab ye ghum khaak nashee'n hai haram dekhke girta alam karne lagi marsiya paani nahi aayega..(2) ek naya mujhko ghum mila qatl alamdar ho gaya 3. Laasha jawa'n bhai ka kaise uthega bhala bole shahe karbala aaiye shere khuda mera sahara bano koi dilasa to do..(2) koi madadgaar na raha qatl alamdar ho gaya 4. Haaye ye lachargi pyaasi sakina rahi tooti ummeede meri aur kamar kham hui mashke sakina chidi beh gaya paani sabhi..(2) kohe alam uspe jab gira qatl alamdar ho gaya 5. Sunte ho akbar sada rote hai shahe huda fizza ne rokar kaha aao sambhalo zara chuta watan ghar luta pyaase rahe gham na tha..(2) ab hai masaeb ki intehaa.. qatl alamdar ho gaya 6.  Ek alamdaar ke jaane se ye ghum mile tashna dahan ro diye haath se kuze gire hum ne to nauhe kiye ehle sitam khush hue..(2) shimr ne jab fauj se kaha qatl alamdar ho gaya 7. Dasht mein shabbir par zulm hue is qadar safdar o mazhar magar tha wo ali ka pisar sabr bhi karta raha, shukr bhi karta raha..(2) zabt ye ghum ho nahi saka qatl alamdar ho gaya