لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hogaya matam bapa qatl hue murtuza

Safdar Abbas2012
ShiaNohaLyrics
Ya ali..(3) hogaya matam bapa qatl hue murtuza kulsoom yahi karti thi nauha ghar fatima zehra ka luta, ae mere allah 1. Jibreel ke lab par hai yahi bain ha matam ae logo karo haider e qarrar ka matam marqad me buka karti hai masooma e alam zainab ye buka karti hai lachaar hu behum sab bibiya ghash khati hai ghum se fizza ke labon par hai sada, ae mere allah 2. Pohche ye sada arshe ola se zameen par shabbir se shabbar ne kaha haaye baradar taza hai kaleje me abhi furqate madar lo baap ka saaya bhi utha haaye muqaddar aghaaz hai ye karbobala ka dil roke yahi kehne laga, ae mere allah 3. Dete hai sada masjid e kufa me namazi lo humse juda hota hai kaunain ka ghaazi zakhmi hui sajde me jabee shere khuda ki kaaba bhi buka karta tha mehraab e azaa bhi har ek namazi ki sada hai ye kohe alam hum pe gira, ae mere allah 4. Yu ek daro baam laraz ne lage ghumse jaari hua sailab har ek deeda e nam se is ghum ko koi puche zara ehle haram se ye dard bayaa hoga kaha ehle qalam se ye dard qayamat se nahi kam kehti hai ye kufe ki qaza, ae mere allah 5. Dil thaam ke karti hai buka zainab e muztar ye tegh e jafa kisne chalai hai padar par hasnain se kehti hai khabar laao to jaakar logo ki buka sunke tadapti hai ye khwahar ye nala o shewan ki sada hai khati hai mere dil pe jafa, ae mere allah 6. Al qissa juhi laaye pisar zakhmi padar ko sarwar ne kaha zainab o kulsoom se aao tar khoon me baba ki jabee hoti hai dekho faryaad behen karne lagi thaam ke dil ko kya daaghe yatimi mai sahungi ye ghum hai qayamat se bada, ae mere allah 7. Jarrah ko bulwao ye sarwar ke sukhan the wo aake mere baba ke is zakhm ko dekhe thi zeher me dubi hui talwaar suna hai ye zeher kahi daaghe yatimi na dikha de jarrah ne jab zakhm ko dekha sar peet ke karta tha buka, ae mere allah 8. Ekkiswi(21) ramzan qayamat ki sahar thi kufe me sada goonj uthi haaye ali ki ghash khane lagi ghum se yadullah ki beti beto ne janazo ko utha kar ye buka ki ab kaun raha sar pe hamare baba ka janaza bhi utha, ae mere allah 9. Mazhar wo masaeb to raqam ho nahi sakte jo haider o safdar ke maqatil me likha hai ek samt se taboot uthae the farishte ek samt se beto ne uthaya tha ye kehke is ghum ka madawa nahi koi jo aaj yateemo ko milaa, ae mere allah