لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sajjad mai zainab hu

Safdar Abbas2012
ShiaNohaLyrics
majma hai koofiyo ka mere chalne ki jaa koi nai 1. Sajjad mere sar se nau baar chini chadar balwe may nabi zadi phirwayi gayi darr darr miljaye rida mujko aur meri dua koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 2. Sajjad mere dil ko ye dard sata-ta hai sar ghazi ka naize se jab khaakh pe aata hai sar mere khula dekh ke gham issay bada koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 3. Sajjad chaloon kaise lakhon hai tamashayi yaad aata reh reh ke abbas mera bhai faryad karoon tujhse ab tere siwa koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 4. Maloom hai aada ko ghazi ki bahan mai be-dast hai wo ghazi pabande rasan hoo mai yaad aayi wafa uski jab paas raha koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 5. Sajjad teri haalat dekhi nahi jati hai be-parda mujhe dekhe ye baat rulati hai sajjad teri tarha kanton pe chal koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 6. Jaata hai suye zindan ab kunba mohamed ka rassi may bandhe qaidi kanton se bhara rasta ummat ne sitam dhaye kismat se gila koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 7. Maut aayegi zindan may meri bali sakina ko kya jake batungi bemaare madina ko gham dil ke uthane ko ab bakhi bacha koi nai bazare jafa sajjad mai zainab.... 8. Bazare sitam may tha zainab ka ajab aalma mazhar mai likhoo kaise zalim ne kaha jis dam hai kaun tera waris zainab ne kaha koi nai bazare jafa sajjad mai zainab....