لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zainab hu mai

Safdar Abbas2012
ShiaNohaLyrics
Zainab ne khutba diya darbaar hilne laga khutbaat ki tegh se ye kehke hamla kiya zainab hu mai, mera baba ali, meri maa sayyeda..(2) Ae shamiyo, zainab hu mai ghor se tum suno, mera baba ali aaj khutba mera.. Zainab hu mai....(2) 1. Ye na samjho ke majboor o lachaar hu azm shabbir haider ki talwaar hu marziye rabb se ghum me giraftar hu baad e abbas mai hi alamdaar hu, alamdaar hu pehchaan lo, zainab hu mai sunke lehja mera, mera baba ali kaun hu bakhuda... zainab hu mai.... 2. Jaan jaoge tum mera naam o nasab jisne paaya hai shere khuda ka laqab uski beti hu mai jaante hai ye sab aaj dekhoge tum mera ghaizo ghazab, ghaizo ghazab mai shaam ko,zainab hu mai jeet kar jaungi, mera baba ali azm hai ye mera zainab hu mai... 3. Meri rag rag mein hai khoon e khaibar shikan kya mujhe qaid kar paegi ye rasan sher jaise baradar ki hu mai bahan kaap jaenge lehje se koho daman, koho daman waada wafa, zainab hu mai mai karungi yaha, mera baba ali bhai shabbir ka zainab hu mai... 4. Ibne marjana jaisa najis aadmi ye samajhta hai fatha usse mil gayi qatl hokar bhi zinda hai mera akhi hai dilo par hukoomat mere bhai ki, mere bhai ki baad az hussain, zainab hu mai ban gai mai hussain, mera baba ali ye rajaz hai mera zainab hu mai... 5. Dekhna kaam aisa mai kar jaungi hogi is shehr par bhi hukoomat meri hogi majlis yaha par mere bhai ki mai mita dungi zehno se yu teergi, yu teergi hoga wohi, zainab hu mai maine jo kehdiya, mera baba ali ye hai daawa mera zainab hu mai... 6. Mere khutbo se gunjegi ye waadiya'n lehja e haideri sab pe hoga ayaa'n yu gira dungi khutbaat ki bijliya'n ab ye aiwan e zulmat rahenge kaha'n, rahenge kaha'n reh jaega, zainab hu mai is faza me asar, mera baba ali meri awaaz ka zainab hu mai... 7. Shaam walo suno baat meri majeed jitna chaho karo zulm hum par shadeed mujhko khud par bharosa hai rab par ummeed bhool jaega bay'at ki baate yazeed, baate yazeed ye azm hai, zainab hu mai aur aelaan hai, mera baba ali karke dekho wigha zainab hu mai... 8. Tum kahan aur zehra ki beti kahan rok paegi kya mujhko ye sakhtiya'n tod daalungi mai saari pabandiya'n jitni chahe bhi pehna do tum bediya'n, tum bediya'n jana nahi, zainab hu mai tum ne shayad mujhe, mera baba ali sunlo ehle jafa zainab hu mai... 9. Binte haider ka safdar ye aelaan tha apne bhai se maine jo waada kiya sunlo ehle jafa, sunlo ehle jafa jaan dekar karungi wo waada wafa, waada wafa muztar hu mai, zainab hu mai aur qaidi bhi hu, mera baba ali fir bhi hai hausla zainab hu mai......