لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghodo se Pamal hua

Safdar Abbas2014
ShiaNohaLyrics
Phool se nazuk wo badan haay wo ibne hasan ghodo se pamaal hua barsare karbobala..(2) mere qasim ka badan ghodo se pamaal hua ae khuda wa waila..(2) bain farwa ne kiye roke sare dashte bala ae khuda wawaila..(2) para para hai badan dasht me bikhra hua mere bache pe hui haay kesi ye jafa koi kya jane bhala tukde hua dil mera mere allah kaha jau mai ab tu hi bata ae khuda wawaila..(2) dile madar hai bhala sabr aae kyu kar sue maqtal hai meri jab bhi padti hai nazar mere ankho se tapakta hai mera khoone jigar haay kya haal hua hoga mere bache ka ae khuda wawaila..(2) dasht me loota gaya haay zahra ka chaman ran me pamaal hua bekhata ibne hasan para para hua haay mere masoom ka tan mai dare khaima pe karti rahi faryado buka ae khuda wawaila..(2) dasht me bikhre hue the badan ke aaza dhundhne maqtal me jab chale shahe huda dekhi bhai ki nishani to jigar chalni hua ek ek tukde pe sheh ne kiya rokar nauha ae khuda wawaila..(2) shaah karte the ye bain ae mere noore ain de bas ek baar sada ae mere dil ke chayn teri awaaz pe dhundhega teri laash husain har qadam pe kiya shabbir ne yehi girya ae khuda wawaila..(2) ae mere laal bata kya kare teri maa noor aankho ka gaya tujhko dhundhu mai kaha aake ek baar gale lagja mere tashna dahaa surate ibne hasan dekhlu ek baar zara ae khuda wawaila..(2) dile madar hai bhala kese paega suku kha gaya ghum ye mujhe mai bhala kese jiyu ye muqaddar me likha hai mai sada roti rahu sabr mujhko tu ata karde bahaqqe zahra ae khuda wawaila..(2) haay safdar ye kiya maa ne rokar nauha kese likhu mai bhala thi qayamat barpa laaye jab laash ke tukdo ko shahe karbobala dasht me goonj uthi madare qasim ki sada ae khuda wawaila..(2) mere qasim ka badan ghodo se pamaal hua ae khuda wa waila..(2)