لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakina Utho Meri Jaan Utho

Safdar Abbas2014
ShiaNohaLyrics
sakina utho meri jaa utho rehai mili chalo ghar chale..(2) ye karti thi maa lahed par buka, meri laadli chalo ghar chale yaha se chalo chale karbala, wahi par tumhe milenge chacha sitam jo hue batana unhe, dikhana unhe ye kurta jala chacha jaan ko dikhana zara, rida khoo bhare chalo ghar chale padar se milo to diljoi ho, batana unhe bohot roi ho qasam lo agar tumhare bina sakina kabhi kahi soi ho lehed baap ki mile jab tujhe to kehna yahi chalo ghar chale baradar tere milenge waha, gae khuld ko jo tashna daha sabhi zakhme dil dikhana unhe baradar se tu ye karna baya mere bezuba utho ghar chale, shabihe nabi chalo ghar chale chalo ghar chale tujhe qaid me mili teergi, ujalo ko tu tarasti rahi tujhe kya mila hai pardes me, yatimi ka ghum kabhi tashnagi meri jaa utho shuru hum kare nayi zindagi chalo ghar chale uthaye sitam sahe sakhtiya tamache lage kabhi seliya chini kis tarah sare karbala hamari rida teri baliya waha roza-e- mohd pe tu batana yahi chalo ghar chale sunana unhe ye rudade ghum, hue kis qadar haram pe sitam jale khaime sab luta malo zarr, safar bhi kiya hue qaidi hum padar bekafan raha khaak par batana unhe chalo ghar chale sabhi ghum zada pareshan hai teri bekasi pe qurbaan hai ye ehle haram sabhi mehve ghum, bohot muztarib puphijan hai labo par teri puphijan ki fugha hai yahi chalo ghar chale sitam kya hue yaha qaid me buka qaid me fugha qaid me mili qaid me zaifi use gaya bhai jo jawa qaid me rasoole khuda se karna baya har ek bekasi chalo ghar chale tasawwur ne jo dikhaya mujhe wo zinda jaha haram qaid the gaya marqade sakina pe jab to safdar lahu baha aankh se sada mazhar-e-hazi aaj bhi ye maine suni chalo ghar chale sakina utho meri jaa utho rehai mili chalo ghar chale