لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nana tere sheher mein

Safdar Abbas2015
ShiaNohaLyrics
Haye zainab, haye haye zainab Bazaar hokar, zindaa'n se chhut kar zainab aagayi nana pardes jaa kar, ujda mera ghar bichde baradar, sab kuch luta kar nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) Mai to ujad gayi hu..(2) karbobala basa gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 1. Aye nana sun sako to rudaad e ghum sunau jo zakhm mai ne khaye wo sab tumhe dikhau sare karbala, mera ghar luta baradar gaye, chhini hai rida Mai to ujad gayi hu.. bhai se jo kiye wo, waade sabhi nibha gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 2. Mahe rajab mein mera bhai watan se nikla aye nana baad tere ummat ne yu sataya suwe karbala, chala qafla musafir bana, tera laadla Mai to ujad gayi hu.. ab mera ghar lutega, ye baat dil ko kha gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 3. Sheh ne zamee'n kharidi karbal hai naam jiska itne mein ashkiya'n ki faujo'n ne hum ko ghera khayam e haram, khuda ki qasam hate nehr se, hua ye sitam Mai to ujad gayi hu.. ye baat mujhko nana, tasveer e ghum bata gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 4. Phir saatwi se nana pehre pe alqama par pani ki bandishe thi aulad e fatema par mere tifl sab, hue jaa'n ba lab ghareeb ul watan hue tashna lab Mai to ujad gayi hu.. ye dard sehte sehte, ashoor ki shab aa gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 5. Ashoor ki wo shab to rote hue guzari subh e daham ki nana akbar ne jab azaa'n di wigha zulm ki shuru hogayi sare karbala qayamat hui Mai to ujad gayi hu bhai ne jo kharidi, sab ko zamee'n ye kha gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 6. Ek ek karke nana peer o jawa'n sidhare maqtal mein koi soya koi neher kinare gule tan mere, baradar mere khafa hogaye, kahi'n khogaye Mai to ujad gayi hu.. naio pe sab ke sarr the, kaisi ghadi ye aa gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 7. Khanjar chala tha jis dum shabbir ke gale par sab zulm dekhti thi ye badnaseeb khwahar gala kat gaya, mere bhai ka kafan bhi use, nahi mil saka Mai to ujad gayi hu.. phir iske baad nana, andhi ghumo ki chha gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2) 8. Larza nabi ka roza 'mazhar' ye bayn sunkar kaise bayaa'n karega farshe azaa pe 'safdar' kaha'n ho saka, baya'n qaid ka yehi khatm hai, mera marsiya Mai to ujad gayi hu.. kehti thi bint e zehra, nana mai lutke aa gayi nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)