لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar tumhe maalum hai

Sahibe Aalam2011
ShiaNohaLyrics
Akbar tumhe maloom hai kya maang rahe ho Tum baap se marne ki reza maang rahe ho Is aalame ghurbat mein tumhe jaane doon kaise Is dashte musibat mein tumhe jaane doon kaise Is waqte kayamat mein tumhe jaane doon kaise Ay laal jo tum izn wigaa maang rahe ho Tum baap ... Kya guzregi iss baap ke dil par nahin socha Tumne ye meri jaan ali akbar nahin socha Mar jaunga main tujhse bichhad kar nahi socha Tum mujhse zaeefi ka asaa maang rahe ho Tum baap ... Dil rota hain nazron se agar door ho beta Kis tarha judaai teri manzoor ho beta Tum hi meri ankhein ho mera noor ho beta Mujhse meri ankhon ki ziya maang rahe ho Tum baap ... Duniya se gaya jis ghadi mehboob khuda ka Nana ki ziyarat ko tadapta tha nawasa Aye laal tujhe is liye khaalik se tha manga Maqbool huwi meri dua maang rahe ho Tum baap ... Islam pe khud apna lahoo rann mein bahao Sine pe sina shaan se maidaan mein khaao Tasweer payambar ki tahe khaak milao Kya is liye marne ki riza maang rahe ho Tum baap ... Ek roz tujhe aan k manga tha phuphi ne Atthara baras naazon se paala tha phuphi ne Beton se bhi zyada tumhe chaha tha phuphi ne Ehsaan jo zainab ne kiya maang rahe ho Tum baap ... Rakhte nahi tum iski khabar aye mere pyare Kis darja mohabbat hai teri dil mein humaare Nana ki mere shakl hai paikar mein tumhare Tum soorate mehboobe khuda maang rahe ho Tum baap ... Sar tera bhi jiss waqt chadhega sare naiza Hoga sare maidaan juda sar bhi tumhara Hum shakle payambar ka gala kaatenge aadaa Goya mere nana ka gala maang rahe ho Tum baap ... Baba mujh maloom hai kya maang raha hoon Ek baap se marne ki riza maang raha hoon Baba mujhe Amma ne bhi kuch dars diya hai Adabe wafa se mujh aagah kiya hai Pehle mein maru aap se wada ye liya hai Buss is liye marn ki riza maang raha hoon Ek baap se marne ki riza maang raha hun ... Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hun Hai aap to baba bine khaatoon qayamat Aur maa hai meri adna si ek pehkare ismat Kya sine mein us ke nahin kuch jazbahe ismat Mein madare muztar ka kaha maang raha hoon Ek baap se marne ki riza maang raha hun ... Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hun Baba mujhe ehwaale dil zaar pata hai Hai sakht bohat manzile dushwaar pata hai Aur deen ka mushkil mein hai sardaar pata hai Yun aap se marne ki riza mangu raha hoon Ek baap se marne ki riza mangu raha hun ... baba mujhe maloom hai kya maang raha hun Mai Shaer e Hassaas jigar soz hu khursheed mehve gham e shabbir shab o roz hu khurshid aalaam e masaeb se zamee'n doz hu khurshid kashkol me kuch ashq e aza maang raha hu Ek baap se marne ki riza mangu raha hun ... baba mujhe maloom hai kya maang raha hun