لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab rida sar se chini

Sahibe Aalam2011
ShiaNohaLyrics
Haye meri zainab, haye meri zainab..(4) Jab rida sar se chini, tu sada deti rahi, tu na aya gazi..(2) Tere hatho'n me rasan, dekhta kaise bahen Bhai bekas tha tera you na aya gazi 1. Ye tujhe bhi hai khabar dukhtare khaire bashar Me utha sakta na tha hukme shabbir pe sar Mere bazu the juda mashk se paani baha Agayi mujhko haya you na aya gazi 2. Sunke mai teri sada ye tho mumkin hi na tha Me na aata kaise dhukhtare shere khuda Be rida dekhu tujhe  kab tha manzoor mujhe Hausla mujhme na tha you na aya gazi 3. Mera chalni tha badan teer the misle kafan Khoo'n se rangeen tha ban bhai bekas tha bahen Ghurz tha sar pe laga gash me tha bhai tera Tera shikwa hai bajha you na aya gazi 4. Jang mai kar na saka hukme shabir jo tha Tha sakina ke liye dum bhi hotho'n pe ruka Mashk zakhmi jo hui ruk gai saans meri Phir qadam uth na saka you na aya gazi 5. Jab huwa thanda alam amma zahra ki qasam Kis tarha thujhse kaho kaise nikla mera dam Wo teri aaho fugha jalte khaimo ka dhuwa Sharm ne maar diya you na aya gazi 6. Jab me ghode se gira aayi amma ki sada Ae shahensha e wafa aa meri god me aa Rab ne bejha tha jinhe dekhta kaise unhe Khu tha ankho me jama you.............. 7. Ye to acha hi huwa aankh me teer laga Yu rasan basta tujhe dekhna padta mujhe Muh dikha sakta na tha ye alam dar e wafa Dil mera doob gaya you............. 8. Tune jo zulm sahe kis tarha bhai kahe Noke neza pe bhi mai band ankhein tha kiye Sham tak sath gaya tere pathar jo laga Mai bhi naizey se gira you........... 9. Bhai ki tooti kamar dekhe hashim ka qamar Tere gazi ka alam ho gaya khoon me tar Pyase bacho ke liye pani lana tha mujhe Wada pura na huwa you............ 10. Rroya rehan qalam karke ye baat raqam Khoon me doob gaya tere ghazi ka alam Sar jo zakhmi tha mera aankh me khoo'n tha jama Aagayi mujhko qaza you na aya gazi.