لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye parindey kaha jaate hai

Sajjad Hallauri2015
ShiaNohaLyrics
Ye bayn karti thi zainab se dukhtare shabbir abhi bhi aankho'n mein yasrab ki hai mere tasweer rehai milne mein aakhir hui hai kyu takheer khafa hai aaj talak mujhse kyu meri taqdeer khuli fiza ke parindey rula rahe hai mujhe watan ki yaad musalsal dila rahe hai mujhe dekhti rehti hu...dekhti rehti hu har roz yahi shaam dhale ye parindey, ye parindey kaha jaate hai phuphi shaam dhale ye parindey kaha jaate hai phuphi shaam dhale..(3) 1. Ashiyana hai kahan inka bata do aye phuphi shab ki tareeki guzarti hai kahan par inki kyu udaa karte hai... kyu udaa karte hai ek saath sabhi shaam dhale ye parindey..(2) 2. Kya hamari tarah ye log bhi hote hai aseer jaisi hai aaj meri inki bhi hai kya taqdeer inpa bhi hote hai kya... inpa bhi hote hai kya zulm phuphi shaam dhale ye parindey..(2) 3. Dekh kar inko mujhe yaad watan ki aaye meri aankho'n mein madine ka samaa lehraaye kaifiyat aisi hi... kaifiyat aisi hi hoti hai meri shaam dhale ye parindey..(2) 4. Bhool jaati mai har ek gham ko sukoo paa jaati unke seene pa yaqeenan mujhe neend aa jaati kaash aajate mere... kaash aajate mere baba abhi shaam dhale ye parindey..(2) 5. Kya batau mai bhala hota hai kya subha masaa aye phuphi haal bura hota hai nanhe dil ka yaad aate hi rukhe... yaad aate hi rukhe sibt e nabi shaam dhale ye parindey..(2) 6. Kya watan laut ke jaana meri qismat mein nahi lag raha hai meri qismat hai ye zindaa ki zamee'n roz ye sochti... roz ye sochti rehti hu phuphi shaam dhale ye parindey..(2) 7. In se kehdo ke yaha'n se kabhi guzra na kare apni aazadi mujhe aake dikhaya na kare baat ye dukhtare... baat ye dukhtare sarwar ne kahi shaam dhale ye parindey..(2) 8. Phir jawaban ye kaha binte ali ne paikar mai batati hu tumhe aye meri sheh ki dukhtar apne ghar jaate hai... apne ghar jaate hai ye log sabhi shaam dhale ye parindey..(2)