لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye darde Karbobala do jahaa(n) pe chaaya hai

Sajjad Merchant2015
ShiaNohaLyrics
Ye darde Karbobala do jahaa(n) pe chaaya hai Ghame HUSAIN(A) mei NABIYO(n) ne khoo(n) bahaya hai 1) Jo pohche Hazrate Adam dayaare Karbobala To khaai raah mein thokar badan se khoon baha Sabab KHUDA(S) se jo poocha to ye jawaab mila Ghame HUSAIN(A) mein taahir lahoo bahaya gaya Baha jo khoo(n) usey SHABBIR(A) se milaate hain Shareek e Karbobala ham tumhein banaate hain 2) Huwa Khaleele KHUDA(a) ka guzar jo Karbal se Ulaj ke gir pada rahwaar sar ke bal wo gire Khaleel Imam they dekha jo khoon riste huwe To RAB se poocha ke sar se lahoo baha kaise Kaha KHUDA(S) ne yahaan SHEH(A) ka khoon Behan hai Tumhare khoon ko usmein shareek rehna hai 3) Kaleem e Haq ko bhi Karbal mein ek khaar chubha Jo nikla khaar to jaari tha khoon ka fawwara Sawaal RAB(S) se kiya to unhein jawaab mila Ghame HUSAIN(A) mein ye khoo(n) bahaa hai ay Musa(a) Jo khoo(n) ke purse pe pabandiyaa(n) lagaata hai Wo shaks FATEMA ZAHRA(S) ka dil dukhaata hai 4) Karo jo jaan bhi qurbaa(n) na haq ada hoga Fida ho baap fida maa(n) na haq ada hoga Bata raha hai ye Qur'aa(n) na haq ada hoga Wo hai HUSAIN(A) ka ehsaa(n) na haq ada hoga Ye mai nahi ye KHUDA-E-KARIM kehta hai Azim RAB isey Zibh-e-Azim kehta hai 5) ALI(A) ka jo nahi(n) naukar wo sarfaraz nahi(n) Jina mein jaaneka uske koi jawaaz nahi Amal abas hai jo ishqe SHAHE HEJAAZ nahi(n) Agar nahi hai Wilayat to phir namaaz nahi(n) Wila ke waaste NABIYON(a) ne apni jaa(n) di hai Wila se Deen ko ALLAH(S) ne amaa(n) dii hai 6) Sada rulaengi qurbaaniyan bahattar ki Kabhi bhi bhool na paenge pyaas ASGHAR(A) ki Wo bekasi thi wo tanhaaiyan thi(n) SARWAR(A) ki Akele SHEH(A) ne uthaai thi laash AKBAR(A) ki Sabab ye kaafi hai SARWAR(A) pe khoo(n) bahaane ko Batao SHAH(A) ki mazloomiyat zamaane ko 7) Sitam ne khech lii(n) yun baaliyaa(n) SAKINA(S) ki sunaai deti hai ab tak fughaa(n) SAKINA(S) ki Lahoo rulaye na kyun siskiyaa(n) SAKINA(S) ki Ke qaid khaane mein nikli hai jaa(n) SAKINA(S) ki IMAME WAQT(A) ko Hamid ye gham satate hain Tadap tadap ke wo aakho(n) se khoo(n) bahaate hain