لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye mohammad ke madadgar

Saleem Akbar Sirsivi2018
ShiaNohaLyrics
Hussain ya hussain..(3) Husain, hussain..... Aye mohammad ke madadgar tera kya kehna..(5) Hussain ya hussain..(2) 1. Aye hussain abroo e deen e ilahi tu hai manzilein dhundhti hai jisko wo rahi tu hai khaas wahdaniyat e haq ki gawahi tu hai maqtal e sabr ka bemisl sipahi tu hai sikka e sabr tera arsh talak chalta hai tera sadqa hai jo kaabe mein diya jalta hai aye mohammad.... 2. Mustanad deen ka har kaam tere ghum se hai baaqi Allah ka paigham tere ghum se hai surkh ru chehra e islam tere ghum se hai khud Mohammad ka bhi ab naam tere ghum se hai haq to ye hai teri mehnat ka sila hai islam kho gaya tha tere sadqe mein mila hai islam aye mohammad.... 3. Har payambar ki shariyat pa tera qarza hai hakime mulk e hidayat pa tera qarza hai arsh walo ki jama'at pa tera qarza hai inteha ye hai mashiyat pa tera qarza hai cheer kar zulm ke toofan ka seena tune pocha islam ke mathe ka paseena tune aye mohammad.... 4. Peshe mabood nahi koi amal radd tera hai farishto ke tasawwur se bada qadd tera nakhsh hai jazba e qurbani e behad tera kaise kalma na padhe zaat e mohammad tera diye islam ki ghurbat ko dilase tune surkh ru kar diya nana ko nawase tune aye mohammad.... 5. Wo tahe tegh e mashiyat se tera raaz o niyaz tak rahi thi tere chehre ko rasoolo'n ki namaz itna purjosh tha tasbeeh e khuda ka andaz aayi kaabe ki minaro'n se musalsal aawaz ishq e mabood ka meyaar hai sajda tera saare sajdo'n ka alamdaar hai sajda tera aye mohammad.... 6. Hai hussain ibn e ali aam teri qurbani haq shanasi ka hai paigham teri qurbani subh e ashoor se ta sham teri qurbani kaise bhulega ye islam teri qurbani tute teero'n ke musalle pe na ki uff tune yu karaya hai namazo ka ta'arruf tune aye mohammad.... 7. Isme tauheed ki pehchan hai sajda tera jism e kaaba ke liye jaan hai sajda tera har sadi ke liye aylaan hai sajda tera jo na utrega wo ehsan hai sajda tera jab bhi duniya mein ibadat ka sawal aayega haan tere akhri sajde ka khayal aayega aye mohammad.... 8. Asre ashoor do aalam ki nazar thi tujhpar khizr o ilyaas ki adam ki nazar thi tujhpar har ghadi nazish e maryam ki nazar thi tujhpar mustaqil mursale aazam ki nazar thi tujhpar rahe maqsad se agar tera qadam hatt jata kul rasoolo'n ki namazo ka gala kat jaata aye mohammad.... 9. Waqt e akhir bhi na hamdardi e jadd li tune apni khuddar tabiyat nahi badli tune ambiya ki na farishto ki madad li tune kamiyabi ki mashiyat se sanad li tune apne hi sabr ka khud jaye zaka gher liya pare jibreel ke bhi saaye se muh pher liya aye mohammad.... 10. Wo sulagta hua sehra wo hawa jiska nuzool teri har saans magar hamd e khuda mein mashghool imteha dekh ke tera aye jigar hamd e batool damba khud masnad e aflaak pa the saare rasool dekh kar apni baqa jhoom raha tha kaaba tere sajde ke qadam choom raha tha kaaba aye mohammad.... 11. Be amaani mein mohammad ko amaa'n di tune aadmiyat ke usoolo'n ko zabaa'n di tune teero talwar ke jhangut mein azaa'n di tune maut sharma gayi is shaan se jaa'n di tune itni mohkam teri jaa'nbaaz adaein nikli labe qudrat se tere haq mein duaein nikli aye mohammad.... 12. Kya ho 'akhtar' se khulasa teri qurbani ka khoon se kaam liya behre wuzu paani ka aks kaunain ki ankho'n mein tha hairani ka haq ne lekar kaha bosa teri peshani ka abd o mabood ke rishte ko tajalli dedi tere sajde ne rasoolo ko tasalli de di aye mohammad....