لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shukriya Zainab

Sayed Ansar Kafar2022
ShiaNohaLyrics
Nok e neza se sar e Shabbir deta tha sada Shukria Zainab, Shukria Zainab Tu ne apne bhai ke Maqsad ko poora kar diya Shukria Zainab, Shukria Zainab Tere dam se aaj baaqi deen ke qanoon hain Mustafa Mashkoor hain, kul Ambiya Mamnoon hain Tere hi isaar ne bakhshi Shariyat ko baqa Shukria Zainab, Shukria Zainab Karwan e deen e Haq kehlaya tera karwaa Tu hai quraa'n ki muhafiz, tu shariyat ki hai jaa'n Sar pe kaabey ke nazar aati hai teri hi Rida Shukria Zainab, Shukria Zainab Saani e zahra hai tu, tera nahi koi badal Karbala se shaam tak tera hai maidan e amal Hausle me tu Ali hai, azm me hai Fatma Shukria Zainab, Shukria Zainab Hausle deewar tere, aur zubaa'n hai Zulfiqar Tere khutbo ne kiya, damaaan e baiyat, taar taar Tere ek ek lafz par qurbaan rooh e Murtaza Shukria Zainab, Shukria Zainab Yun luta gulshan ke zakhmi daali daali ho gai Mar gaye Aaon o Mohammed, god khali ho gai Is qayamat par bhi tu ne shukr ka sajda kiya Shukria Zainab, Shukria Zainab Bhai ke maqsad ki khatir seh gai ranj o mehan Pusht par durro ki barish, aur shano me rasan Khaar raho ke pukare, zarra zarra keh utha Shukria Zainab, Shukria Zainab Sarbr ki sarhaq me rakha apni har fariyad ko Mashwarey deti rahi tu Sayyed e Sajjad ko Kaun samjhe ga faseel ab kya hai tera martaba Shukria Zainab, Shukria Zainab