لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maa Ne Jab Dekha Ali Asghar

Sayed Fazal Abbas2022
ShiaNohaLyrics
Maa'n ne jab dekha Ali Asghar ka lasha khaak par Beh gaya ankhon se khoo'n bankar kaleja khaak par Qatle Asghar ki khabar goonji faza mein jis ghadi Dasht mein Bano giri, yasrab mein Sughra khak par Maang sooni ho gai, aghosh khali ho gai Bano e muztar ki bikhri har tamanna khaak par Aye khuda e rizq kya hota teri makhlooq ka Aik qatra khoo'n agar Asghar ka girta khaak par Soch le insaa'n to soz e gham se jal utthe jigar Kis tarha shabbeer ne Asghar ko rakkha khaak par Khaak udane ke siwa karti bhi kya ranjoor maa'n Khaak hota dekh kar Asghar ka jhoola khaak par Tujh ko kya maloom aye Asghar tere jaane ke baad Maa'n ne kitni baar tera naam likkha khak par Zindagi maa'n ne guzari is tarah Asghar ke baad Sote sote chaunkna, sar rakh ke rona khaak par Maa'n ye kehti thi mai apna dil sambhaloo'n kis tarah Yaad ata hai tera jhoole se girna khaak par Neza bardaro'n ko hai nanhi si mayyat ki talash Gir na jaye aye Khuda Arsh e mo'alla khaak par Seena e insaa'n se goya dil nikal aya Faseel Qabr se jab lasha e besheer aya khaak par