لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Barbaad Hui Aale Nabi

Sayed Mehdi Naqvi2022
ShiaNohaLyrics
barbaad hui aal e nabi (saww) ahle madina tum chain se sona baba ke liye raat me roygi na zahra (as) tum chain se sona jeete jee unhe chain se rehne na diya hai tum logon ki ab ahle madina ye saza hai khatoon e qayamat (as) ke janaze me na aana tum chain se sona aulad e ali (as) gham ye akele hi sahegi zahra (as) ki judai me wo maghmoom rahegi har raat unhe ab to hai ro kar hi bitana tum sona chain se dhal jayega din ayega jab shab ka andhera tanhai me bad jayega gham aur ali (as) ka zahra (as) ke liye royege tanhai me maula (as) tum chain se sona amma ka unhen hoga na ab pehlu mayassar so payenge raaton me na ek pal ko bhi sarwar (as) maan ban ke unhe fizza (as) hi de degi dilasa tum chain se sona zainab (as) jo bichayengi tahajjud ka musalla tasbeeh jo dekhegi to yaad ayengi zahra (as) de denge unhe aa ke malak arsh se pursa tum chain se sona turbat me bhi ab chain kahan payege mursal (saww) zahra (as) ke liye royege din raat musalsal lekin tumhe is baat se kya farq padega tum chain se sona haider (as)ke mohibbon pa qayamat ki ghadi hai khatoon e qayamat ki shahadat jo hui hai salmaan o abuzar (as) ko hai is gham me tadapna tum chain se sona ye raat musibat ki hai ham ahle aza par ham fatema zahra (as) ke liye royege shab bhar kya wasta is gham se musalmaanon tumhara tum chain se sona kis dil se wilayat ho bayan. dard ka manzar bole ye ali (as) zahra (as)ko turbat me sulakar wada hai mera dhyaan main bachchon ka rakhuga tum chain se sona