لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Goonji sada husain ki

Sayed Shabrez2014
ShiaNohaLyrics
Goonji Sada Hussain ki Abbas na raha Bazu shaheed hogaye mashkiza chid gaya Goonji Sada Hussain ki Abbas na raha..(2) 1. Apni qamar ko thamke haider ka laadla Khaime se qatl gaah ki taraf dekhta raha Zehra ke laadle ki nigahe tadap gayi Jab zeen se zameen par Abbas gir gaya... 2. Akbar mujhe sambhalo meri jaan ho kidhar Qasim zara si der ko aajao na idhar Ae dost mere ibne mazahir Karo nazar Rasta mujhe furat ka aata nahi nazar.. 3. Lashkar kahan hai Mera alamdar hai kahan Pucho kisi se Mera wafadar hai kahan Abbas ke bina yeh adhuri hai zindagi Ae nainawa bata Mera ghumkhar hai kahan.. 4. Bazu nahi yeh saniye zehra ki Thi rida In Bazuo pe binte yadullah ka naaz tha Zainab samajh gayi rukhe shabbir dekhar kar Abbas na raha meri chin jayegi rida.. 5. Rokar sakina bibi ne kuza chupa diya Har aas har umeed ko dil se mita diya Boli chacha tumhari kasam pyaas Mar gayi Be saakta zameen par khud ko gira diya.. 6. Islam ki hayat ka saman kar gaya Zaat e wafa par bawafa ehsaan kar gaya Dariya me rehke paani ko laya na labor tak Behti Huvi furat ko hairaan kar gaya 7. Dashte bala me saniye zehra ne di sada Baba Mera wo monis o yawar nahi raha Binte Ali tadap ke musalle pe gir gayi Sajde ke baad boli rida haye meri rida...