لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Narga-e-ada mein qasim ghir gaya

Sayed Shabrez2014
ShiaNohaLyrics
Nargaye Aada me Qasim ghir gaya x2 Bekhata Maqtal me Khun x2 uska baha.. Nargaye Aada me Qasim ghir gaya x2 Koi monis hai nahi mazloom ka Tu hai Qasim ka nigebaa'n aye Khuda Yeh akela har taraf x2 Ahle jafa.. Aisa noorani tha shabbar ka pisar Chaudvi ka zaufe sha jaise kamar chagayi us chand par x2 Shaami ghata.. Haye yeh Tera baras ki kamsini Aur us par teen roza tashnagi Kis tarha woh dair tak x2 Ladta bhala.. Teer hai khanjar sina talwar hai Zulm ki mazloom par yalgaar hai Phool se Qasim ko zakhmi x2 Kar diya.. Kamsino nazuk tha woh ibne hasan Maa ke dil ka chain tha woh gul badan Gul badan woh khoon me x2 Dooba hua.. Uspe lanat kyu naho rab ki kasam Kis kadar sang dil the woh ahle sitam Zinda hi pamal Qasim x2 ko Kiya.. Kis kadar zalim the shami ashkiya Is kadar pamal Qasim ko Kiya Tukde Tukde haye Qasim x2 Hogaya Haq parast jaame ajal haskar piye Maut hai misle shehed uske liye Maut ka batlaya Qasim x2 Ne maza.. Shayar e aale aba qaiser suno Fatema ki aal ka nauha likho Fatema dengi tumhe x2 dil se dua..