لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abide beemar hai

Sayed Shabrez2015
ShiaNohaLyrics
Abide bimaar hai sham ka bazar hai or Ali ki betiya'n Mahjmae aghyar me be rida shehzadiya'n sakht hain ye imtiha'n, Kar chuka ailaan zalim shehr k logon suno, Baghion ka haal akar aaj tum bhi dekh lo, Khoon k Anson rulae ye moazin ki azaa'n shor zalim ka utha darbar ko sajne to do dasht me aale nabi ko bas uhi roke raho dekhta hu aae khuda mai eid k jaisa sama dekh kar kehta hai humko waqt ka zalim sharir shukr karta hu ke khaliq ne kiya tumko haqir sabr ki quwat ata kar malike arzo sama khak par baithi hai ibne mutaza ki ladli aae khuda tu jaanta hai do ghadi sona saki kaan bhi zakhmi hai galo par tamacho ke nishaan sar khule konain ki shehzadiya balwe me hai khak chehre par sajae kufr ke narge me hai ro rahi hai bediya aur keh rahi hai alamaan noke naiza par mere baba ka sar rota raha naam zainab ka ameere shaam jab leta raha phat gae kyun na zameen kyun na gira ye aasmaan pardae zainab bani fizza sare bazar me haq ada yawar kiya yu majmae aagyaar me har sitam abid ne dekhe aur suni hai siskiya